Radha Ke Man Mai Bas Gaye Kunj Bihari (राधा के मन में, बस गए श्याम बिहारी - भजन)


Shyam Rang Mein Rang Gai Radha,
Bhooli Sudh-budh Sari Re,
Radha Ke Man Mein,
Bas Gaye Shyam Bihari ॥
Shyam Naam Ki Chunar Odhi,
Shyam Naam Ki Chudiyan,
Ang-ang Mein Shyam Samaye,
Mit Gayi Sari Dooriyan,
Kano Mein Kundal Gal Vaijanti,
Mala Lage Pyari Re,
Radha Ke Man Mein,
Bas Gaye Shyam Bihari ॥

Baith Kadam Ki Dal Kanhaiya,
Murali Madhur Bajaye,
Sanjh Sakare Murali Ke Swar,
Radha-radha Gaye,
Iss Murali Ki Tan Pe Jaye,
Ye Duniya Balihari,
Radha Ke Man Mein,
Bas Gaye Shyam Bihari ॥

Adhar Sudha Ras Murali Raje,
Kanha Ras Rachaye,
Krishn Rachaiya Radha Rachna,
Prem Sudha Barsaye,
Prem Magan Ho Sab Hi Bolo,
Jay Ho Banke Bihari,
Radha Ke Man Mein,
Bas Gaye Shyam Bihari ॥

Shyam Rang Mein Rang Gai Radha,
Bhooli Sudh-budh Sari Re,
Radha Ke Man Mein,
Bas Gaye Shyam Bihari ॥
राधा के मन में, बस गए श्याम बिहारी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
श्याम रंग में रंग गई राधा, भूली सुध-बुध सारी रे, राधा के मन में...
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanRadha Krishna BhajanMridul Shastri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ram Nam Ke Heere Moti

Ram Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali । Krishn Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali ।

Ayodhya Wasi Ram

Ayodhyawasi Ram, Dasharath Nandan Ram, Janaki Jeevan Ram

Ram Bhajan - Jag Gayi, Jag Gayi, Ram Jyoti Jag Gayi

Ram Ji Ka Aagman Ayodhya Saari Saj Gayi, Jag Gayi Jag Gayi, Ram Jyoti Jag Gayi

Kanha Teri Kabse Baat Niharun

Kanha Teri Kabse, Baat Niharun, Baat Niharu Tujhe, Pal Pal Pukarun ॥ Bandh Li Kanha Tose

Ram Raj Fir Se Aayil Ba

Ram Mandir Mein Ayile,Ram Raaj Ab Phir Se Aail Ba, Kab Se Lagal Aas Purail, Sab Jan Ke Manava Harasail