Radha Se Karde Sagai (राधा से कर दे सगाई: भजन)


Pyari O Pyari Maiya,
O Pyari Pyari Maiya,
Kahate Hai Krishn Kanhai,
Radha Se Kar De Sagai,
Meri Radha Se Kar De Sagai ॥
Na Re Na Boli Maiya,
Na Re Na Boli Maiya,
Chhoto Hai Chhoto Tu Kanhai,
Kaise Main Kar Doon Sagai
Teri Kaise Main Kar Doon Sagai ॥

Sundar Hai Sundar Sabse Lagti Hai Pyari,
Dekha Tha Kal Hi Laate Yamuna Se Jhari,
Dil Ki Bhi Sundar Hai Yoon Bole Kanhaiya,
Lagta Purana Koi Bandhan Hai Maiya,
Barsane Ja Ke Kar De,
Barsane Ja Ke Kar De,
Rasmo Ki God Bharai,
Radha Se Kar De Sagai,
Meri Radha Se Kar De Sagai ॥

Jadugari Radha Ka Jadu Hai Krishna,
Mithi Mithi Baaton Me Mere Laal Na Phasna,
Laungi Aisi Bahu Lakhon Mein Hogi,
Teri Sagai Aisi Vaisi Na Hogi,
Radha Se Katti Kar Le,
Radha Se Katti Kar Le,
Teri Hai Is Mein Bhalai,
Kaise Main Kar Doon Sagai
Teri Kaise Main Kar Doon Sagai ॥

Na Re Na Boli Maiya,
Na Re Na Boli Maiya,
Chhoto Hai Chhoto Tu Kanhai,
Kaise Main Kar Doon Sagai
Teri Kaise Main Kar Doon Sagai ॥

Bahlao Na Ri Maiya Chhoto Samajh Kar,
Jo Bhi Mai Bola Sara Soch Samajh Kar ,
Ab Mai Chhota Nahi Bada Ho Gaya Hoon,
Bansi Bajata Us Ke Ghar Bhi Gaya Hoon,
Vo to Hai Bholi Radha,
Vo to Hai Bholi Radha,
Sahan Na Sakegi Judai,
Radha Se Kar De Sagai,
Meri Radha Se Kar De Sagai ॥

Lalla Ki Pyari Pyari Baaton Ko Sunkar,
Boli Maiya Bhi Boli Radha Hai Sundar,
Teri Sagai Radha Rani Se Hogi,
Hogi Bahu Radhe Rani Hi Hogi,
‘Lahari’ Khushi Se Phula,
‘Lahari’ Khushi Se Phula,
Bante Re Bante Badhai,
Radha Aur Kanha Ki Sagai,
Ho Gayi Radha Aur Kanha Ki Sagai ॥

Pyari O Pyari Maiya,
O Pyari Pyari Maiya,
Kahte Hai Krishn Kanhai,
Radha Se Kar De Sagai,
Meri Radha Se Kar De Sagai ॥
राधा से कर दे सगाई: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कहते है कृष्ण कन्हाई, राधा से कर दे सगाई, मेरी राधा से कर दे सगाई..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami Bhajan

Other Popular Radha Se Karde Sagai Video

By Divya Chaturvedi

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aayi Mahadevi Avtar Bhawani More Angna Main

Aain Mahadevi Avtar, Bhawani More Angna Mein, More Angna Mein Tori Madhiya Mein, Chhain Khushiyan Aprampar, Bhawani Tori Madhiya Mein, Aain Mahadevi Avtar, Bhawani More Angna Mein ॥

Nit Mahima Mai Gaun Maiya Teri

Sada Jyot Jagaoon Maiya Teri, Nit Mahima Main Gaun Maiya Teri, Mujhe Na Kuch Aur Chahiye ॥

Khel Panda Khel Panda Re

Khel Panda Khel Panda Re, Khel Panda Re

Singh Sawari Mahima Bhari

Singh Sawari Mahima Bhari, Pahadon Mein Asthan Tera, Bramha Vishnu Shiv Shankar Bhi, Karte Maan Gungan Tera ॥

Tum Sharnai Aaya Thakur

Tum Sharnai Aaya Thakur, Tum Sharnai Aaya Thakur ॥ Utari Gaio Mere Man Ka Sansa, Jab Te Daraanu Paia ॥