Ram Ji Ka Mandir Lage Neeko (राम भजन - राम जी का मंदिर लगे नीको)


Duniya Ki Chakachaundh Bhulun Main,
Ram Siya Ram Hi Bolun Main
Hai Na Thikana Koi Khushi Ka
Aisa Tej Chhaya Mandir Chhavi Ka ।
Ram Ji Ka Mandir...
Ram Ji Ka Mandir Lage Neeko,
Iske Aage Lage Saaro Jag Pheeko ।
Yahan Ki Galiyon Mein Ram Ji Ke Chitr Hai,
Har Ek Chitr Mein Purushottam Charitra Hai,
Yahan Har Kisi Ka Chitt Har Jata Hain,
Phir Vo Masti Mein Ram Ram Gata Hain ।

Hai Mangal Shagun, Hai Mangal Bhavan
Bas Jaate Hain Devon Ke Bhi Man
Hai Bhavy Vishal, Ye Divya Darbaar
Sinhasan Viraje Shriram Sarkar

Swarg Ke Baibhav Ko Bhool Jaoge,
Ek Baar Jo Mandir Aaoge
Dekh Dang Reh Jaoge Tum Sabhi
(Yahan) Darshan Mere ( Anmol) Prabhu Ram Ji Ka ।

Baat Kalpon Ki Hai,
Na Hi Alpon Ki Hai
Na Duniya Ke Jhagde Na Hi Jalpo Ki Hai.
Ye Baat Hamare Sankalpon Ki Hai
Ram Mandir Ke Liye Harshit Palkon Ki Hai ।

Aaye Ayodhya Ke Dwar Hum ,
Prabhu Ram Ka Karne Deedaar Hum ,
Sir Pe Mere Bhakti Sawar Hai
Karke Aaye Nauka Vihaar Hum,
Bana Ek Mahal, Jo Hai Surya Ke Saman ,
Koti Koti Dhanya Huye
Jo Rahe Ram Ko Nihaar Hum

Yaadein Hamare Seene Mein,
Deti Thi Humko Ye Peed ,
Apne Hi Mahal Ke Aage,
Kaisi Halat Mein Rahe Raghuveer,
Bhakton Ke Rakt Ka Balidaan,
Ab Rang Hai Aisa Dikha Raha ,
Ram Ke Mandir Ke Aage, Ab Svarg Bhi Sharma Raha ।

Hum Sabka Guman, Hai Ram Bhagwan,
Jahaan Ram Base, Vo Saaket Saman,
Ye Keval Mandir Nahin , Na Keval Devasthan,
Ye to Hai Hamari Aan Baan Aur Shaan,
Hai Ram Darbar Manohar Aiso,
Yogijan Dhyan Kar Khoje Jaiso,
Mohe Kaam Lage Dev Shilpi Ko ।। 2 ।।
Ram Mandir Lage Mohe Neeko Haan
Ram Mandir Lage Mohe Neeko,
Iske Aage Lage Saaro Jag Pheeko ।
राम भजन - राम जी का मंदिर लगे नीको - हिन्दी में पढ़ें
दुनिया की चकाचौंध भूलूं मैं, राम सिया राम ही बोलूँ मैं, राम जी का मंदिर लगे नीको, इसके आगे लगे सारो जग फीको।
Bhajan Ayodhya BhajanDiwali BhajanRam Mandir BhajanShri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanISKCON BhajanMadhavas Rock Band Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne, Wahi Ye Srishti Chala Rahe Hai, Jo Ped Humne Lagaya Pahale...

Ram Ko Dekh Ke Janak Nandini

Ram Ko Dekh Kar Ke Janak Nandini, Bag Mein Vo Khadi Ki Khadee Rah Gayi...

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Maiya Odh Chunariyan Lal Ke Bethi Kar Solha Shingar

Maiya Odh Chunariya Laal, Ke Baithi Kar Solah Shringar, Badi Pyari Laage, Badi Soni Laage, Badi Pyari Laage, Badi Soni Laage ॥

Sun Meri Maat Meri Baat

Sun Meri Maat Meri Baat, Chhani Koni Tere Se, Aankhdali Churake Maiya, Jaasi Kathe Mere Se ॥