Ramji Ki Nikali Sawari Ramji Ki Leela Hai Nayari (रामजी की निकली सवारी - भजन)


Sar Pe Mukut Saje Mukh Pe Ujala
Hath Dhanush Gale Mein Pushp Mala
Ham Daas Inke Ye Sabke Swami
Anjaan Ham Ye Antarayami
Shish Jhukao Ram Gun Gao
Bolo Jai Vishnu Ke Avatari
Ramji Ki Nikli Savari,
Ramji Ki Leela Hai,
Ek Taraph Lakshman Ek Taraph Sita,
Bich Mein Jagat Ke Palanhaari,
Ramji Ki Nikli Savari,
Ramji Ki Leela Hai, Nyari Nyari,

Dhire Chala Rath O Rath Vale,
Tohe Khabar Kya O Bhole Bhale,
Ek Baar Dekhe Dil Na Bharega,
Sau Baar Dekho Phir Ji Karega,
Vyaakul Bade Hain Kabase Khade Hain,
Darshan Ke Pyase Sab Nar Nari,

Ramji Ki Nikli Savari,
Ramji Ki Leela Hain Nyari,

Chaudah Baras Ka Vanavas Paya,
Mata Pita Ka Vachan Nibhaya,
Dhokhe Se Har Li Ravan Ne Sita,
Ravan Ko Mara Lanka Ko Jeeta,
Tab Tab Ye Aye, Tab Tab Ye Aye,
Jab Jab Ye Duniya Inko Pukari,

Ramji Ki Nikli Savari,
Ramji Ki Leela Hain Nyari,

Ramji Ki Nikli Savari,
Ramji Ki Leela Hai,
Ek Taraph Lakshman Ek Taraph Sita,
Beech Mein Jagat Ke Palanahari,
Ramji Ki Nikli Savari,
Ramji Ki Leela Hai, Nyari Nyari,
रामजी की निकली सवारी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
सर पे मुकुट सजे मुख पे उजाला, हाथ धनुष गले में पुष्प माला...
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanLaxmikant Pyarelal BhajanMovie Sargam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Chitrakoot Ke Ghat Ghat Par Shabri Dekhe Baat

Chitrakoot Ke Ghat-Ghat Par, Shabari Dekhe Baat, Ram Mere Aa Jao, Chitrakut Ke Ghat-Ghat Par...

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya, Nandlala Ghanshyam Re, Govardhan Girdhari Kanha, Tere Kitne Naam Re, Bolo Shyam Radhe Shyam...

Ek Nazar Bas Ek Nazar Hum Pe Bhi Mohan Vaar De

Ek Nazar Bas Ek Nazar, Hum Pe Mohan Vaar De, Zindagi Ki Dagmagati, Meri Naiya Taar De ॥

Kahiyo Darshan Dinhe Ho Bhilaniyo Ke Ram

Kahiyo Darshan Dinhe Ho, Bhilniyon Ke Ram ।

Phoolon Mein Saj Rahe Hai

Phoolon Mein Saj Rahe Hain, Shri Vrindavan Bihari, Aur Sath Saj Rahi Hai, Vrishbhanu Ki Dulari ॥