Rom Rom Me Basa Hua Hai Ek Usi Ka Naam (रोम रोम में बस हुआ है एक उसी का नाम: भजन)


Rom Rom Mein Basa Hua Hai,
Ek Usi Ka Naam,
Tu Japle Ram Ram Ram,
Tu Bhajle Ram Ram Ram,
Rom Rom Mein Basa Hua Hain ॥
Lobh Aur Abhiman Chhodiye,
Chhod Jagat Ki Maya,
Man Ki Aankhe Khol Dekh,
Kan Kan Mein Wahi Samaya,
Jahaan Jhukaye Sar Tu Apna,
Wahi Pe Unka Dhaam,
Tu Japle Ram Ram Ram,
Tu Bhajle Ram Ram Ram,
Rom Rom Mein Basa Hua Hain ॥

Ye Mat Soch Jahaan Mandir Hai,
Wahi Pe Deep Jalenge,
Jahaan Pukarega Tu Unko,
Wahi Pe Ram Milenge,
Dar Dar Bhatak Raha Kyon Prani,
Unhi Ka Daman Tham,
Tu Japle Ram Ram Ram,
Tu Bhajle Ram Ram Ram,
Rom Rom Mein Basa Hua Hain ॥

Ye Sansar Ke Nar Aur Nari,
Devi Devta Saare,
Nahin Chala Hai Koi Yahan Pe,
Unke Bina Ishare,
Wo Chahe Sooraj Nikle,
Vo Chahe to Dhalti Shaam,
Tu Japle Ram Ram Ram,
Tu Bhajle Ram Ram Ram,
Rom Rom Mein Basa Hua Hain ॥

Rom Rom Mein Basa Hua Hai,
Ek Usi Ka Naam,
Tu Japle Ram Ram Ram,
Tu Bhajle Ram Ram Ram,
Rom Rom Mein Basa Hua Hain ॥
रोम रोम में बस हुआ है एक उसी का नाम: भजन - हिन्दी में पढ़ें
रोम रोम में बसा हुआ है, एक उसी का नाम, तू जपले राम राम राम, तू भजले राम राम राम
Bhajan Ram Bhajan BhajanBhagwan Shri Ram BhajanRam Mandir BhajanRam Naam BhajanRam Stuti Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥