Roye Jo Shyam Ka Premi,Use Shyam Hi Dhir Bandhaye (रोये जो श्याम का प्रेमी, उसे श्याम ही धीर बँधाए: भजन)


Roye Jo Shyam Ka Premi,
Use Shyam Hi Dheer Bandhaye,
Jise Sanwariya Hi Rulaye,
Use Kaun Kaun Hansaye,
Use Kaun Kaun Hansaye ॥Daulat Shohrat Mat Mango,
Bas Mango Sath Prabhu Ka,
Kaisi Bhi Koi Ghadi Ho,
Ho Sar Pe Hath Prabhu Ka,
Jo Premi Raah Se Bhatake,
Prabhu Manjil Tak Pahunchaye,
Jo Prabhu Se Hath Chhudaye,
Use Kaun Chalaye,
Roe Jo Shyam Ka Premi ॥

Sukh Duhkh Aate Jate Hai,
Ye Khel Hai Is Jeevan Ka,
Karmo Ki Baat Hai Pyare,
Ye Mauka Prabhu Sumiran Ka,
Jo Bhav Bhajan Mein Doobe,
Unhen Satsang Paar Lagaye,
Jo Satsang Mein Itraye,
Unhen Kaun Bachaye,
Roe Jo Shyam Ka Premi ॥

Jo Sharanagat Ho Jaata,
Use Sanwara Gale Lagaye,
‘Romi’ Ke Har Sankat Mein,
Ye Morchhadi Laharaye,
Jo Haar Ke Dar Pe Aaye,
Sanwariya Jeet Dilaye,
Sanwariya Jisko Haraye,
Use Kaun Jitaye,
Roe Jo Shyam Ka Premi ॥

Roye Jo Shyam Ka Premi,
Use Shyam Hi Dheer Bandhaye,
Jise Sanwariya Hi Rulaye,
Use Kaun Kaun Hansaye,
Use Kaun Kaun Hansaye ॥
रोये जो श्याम का प्रेमी, उसे श्याम ही धीर बँधाए: भजन - हिन्दी में पढ़ें
रोये जो श्याम का प्रेमी, उसे श्याम ही धीर बँधाए, जिसे सांवरिया ही रुलाए, उसे कौन कौन हंसाए, उसे कौन कौन हंसाए ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Janme Avadh Me Ram Mangal Gao Ri

jis bhajan mein ram ka naam na ho, us bhajan ko gana na chahie...

Sare Jahan Ke Malik Tera Hi Aasara Hai

Sare Jahan Ke Malik, Tera Hi Aasra Hai, Raji Hain Hum Usi Mein, Jis Mein Teri Raja Hai...

Karlo Karlo Charo Dham

Karlo Karlo Charo Dham, Milenge Krishn, Milenge Ram Jeevan Safal Usi Ka Samjho, Jisne Kiya Ye Dham

Tum Karuna Ke Sagar Ho Prabhu

Tum Karuna Ke Sagar Ho Prabhu, Meri Gagar Bhar Do Thake Panv Hai

Tumhi Me Ye Jivan Jiye Ja Raaha Hoon

Tumhin Mein Ye Jeevan Jiye Ja Raha Hoon, Jo Kuchh De Rahen Ho Lie Ja Raha Hoon ॥ Tumhin Se Chala Karati Pranon Ki Dhadakan...