Sankat Harlo Mangal Kardo Pyare Shiv Gaura Ke Lal (संकट हरलो मंगल करदो, प्यारे शिव गौरा के लाल: भजन)


Sankat Harlo Mangal Kardo,
Pyare Shiv Gaura Ke Lal,
Ab Vinati Sunle Ganpati Deva ॥
Hey Gannaayak Dev Gajanan,
Musak Chadhkar Aao,
Haath Jod Kar Dwar Khade Hai,
Ab Na Der Lagao,
Gajanan Jaldi Se Tum Aao,
Aakrar Ke Apne Bhakto Ka,
Tum Jaan Lo Dil Ka Haal,
Ab Vinati Sunle Ganpati Deva ॥

Tumko Na Batlaye To Tum,
Aapni Kise Batayen,
Tum Hi Bata Do Siddhivinayak,
Kiske Dwar Pe Jaye,
Batao Kisko Apni Sunaye,
Dukh Ke Badal Ne Ghera Hai,
Sankat Ka Phela Jaal,
Ab Vinati Sunle Ganpati Deva ॥

Sankat Harta Sankat Kato,
Charo Taraf Tera Raaj,
Kardo Ab Khusiyon Ki Barsa,
Hai Ganpati Maharaj,
Humare Puran Kardo Kaaj,
Sabke Puran Tum Kaam Karo,
Jaag Main Hai Teri Misal,
Ab Vinati Sunle Ganpati Deva ॥

Tut Rahi Hai Aas Ki Dori,
Dol Raha Biswas,
Ab To Hume Tum Apni Daya ka,
De Do Prabhu Prasad,
Kahin Ab Tut Na Jaye Aas,
Jese Bhi Ho Ab To Tumko,
Deva Karna Hai Kamal,
Ab Vinati Sunle Ganpati Deva ॥

Sankat Harlo Mangal Kardo,
Pyare Shiv Gaura Ke Lal,
Ab Vinati Sunle Ganpati Deva ॥
संकट हरलो मंगल करदो, प्यारे शिव गौरा के लाल: भजन - हिन्दी में पढ़ें
संकटहर्ता संकट काटो, चारो तरफ तेरा राज, कर दो अब खुशियों की वर्षा, हे गणपति महाराज, हमारे पूरण कर दो काज, सबके पूरण तुम काम करो, जग में है तेरी मिसाल, अब विनती सुनलो गणपति देवा ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ram Ka Naam Lo

Ram Ka Naam Lo, Ya Shyam Ki Pooja Karlo, Koi Antar Nahi Dono Me, Bharosa Karalo ॥

Raghuvir Ko Pranam Hamara Keh Dena

O Jane Wale Raghuvir Ko, Pranam Hamara Kah Dena Pranam Hamara Kah Dena, Sitaram Hamara Kah Dena ॥

Sone Ki Lanka Jalai Gayo Re Ek Choto So Vanar

Sone Ki Lanka Jalaye Gayo Re, Ek Choto So Vanar, Choto So Vanar, Ek Choto So Vanar, Ravan Ko Pani Pilaye Gayo Re, Ek Choto So Vanar, Sone Ki Lanka Jalaye Gayo Re, Ek Choto So Vanar ॥

Jai Bajrangbali Jai Hanumana

Hanumanaji Stuti, Jay Bajarangi Jay Hanumana, Rudra Roop Jay Jay Balbaan, Sankat Mochan Siy Matu Ke Pyare ॥

Veer Bali Hanuman Ye Hai Ram Bhakt Hanuman

Veer Bali Hanuman, Ye Hai Ram Bhakt Hanuman, Sare Jag Main Phela Shaan, Sare Bhakt Kare Gungan,
Thari Jay Ho, Thari Jay Ho Pawan Sut, Bajarangi Hanuman, Balaji Teri Jay Ho,
Pawan Sut Maa Anjani Ke Lala ॥