Bhajan: Sanware Ko Dil Me Basa Kar To Dekho (भजन: सांवरे को दिल में बसा के तो देखो)


Karta Kare Na Kar Sake,
Par Guru Kiye Sab Hoye ।
Saat Dweep Nau Khand Me,
Mere Guru Se Bada Na Koye ॥
Sanware Ko Dil Mein Basa Ke to Dekho
Duniya Se Man Ko Hata Ke Dekho
Bada Hi Dayalu Hai Banke Bihari
Ik Baar Vrindavan Aa Karke to Dekho

Banke Bihari Bhakton Ke Dildaar
Sada Lutate Hain Kripa Ke Bhandar

Meera Ne Jaise Giridhar Ki Paya
Pyala Zahar Ka Amrit Banaya
Meera Si Hasti Mita Kar to Dekho
Ik Baar Vrindavan Aa Kar Ke Dekho
Sanware Ko Dil Mein Basa Ke to Dekho...

Koi Tan Dukhi Koi Man Dukhi
Koi Dhan Bin Rahe Udas
Thode Thode Sab Dukhi,
Sukhi Ram Ke Daas

Teri Pal Mein Jholi Vo Bhar Dega
Duhkh Dard Jindagi Ke Vo Har Lega
Chaukhat Pe Daman Phaila Kar to Dekho
Bas, Ik Baar Vrindavan Aa Kar to Dekho

‘chitr Vichitr’ Ka to Bas Yahi Kahana
Prabhu Charno Se Kahi Door Nahin Rahana
Jindagi Yah Bandagi Mein Mita Kar to Dekho
Ik Baar Vrindavan Aa Kar Ke Dekho
भजन: सांवरे को दिल में बसा के तो देखो - हिन्दी में पढ़ें
सांवरे को दिल में बसा के तो देखो, दुनिया से मन को हटा के देखो...
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanChitra Vichitra Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ram Bhaja So Jeeta Jag Me

Ram Bhaja So Jeeta Jag Mein, Ram Bhaja So Jeeta Re । Hrday Shuddh Nahi Kinhon Moorakh

Bhajan: Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar

Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar Hathon Mein Phoolon Ka Dauna Bhi Sohe Sundar Gale Mein Sohe Haar

Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe

Shri Ram Bhajan Video: Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe, Haye Ayodhya Me Andhere Chha Rahe...

Kanhaiya Le Chal Parli Paar

Kanhaiya Le Chal Parli Paar, Saawariya Le Chal Parli Paar, Jaha Birajo Meri Radha Rani, Albeli Sarkar ॥

Ram Charan Chit Lai Re Bhajo Radhe Govinda

Ram Charan Chit Lai Re, Bhajo Radhe Govinda, Bhaktan Ke Sukhdayi Re, Bhajo Radhe Govinda, Jab Maara Tab Tab Taara