Shiv Adbhut Roop Banaye (शिव अद्भुत रूप बनाए: भजन)


Shiv Adbhut Roop Banaye,
Jab Byah Rachane Aaye ॥
Bhut Betal the,
Sang Mein Chandal the,
Bhut Betal the,
Sang Mein Chandal the,
Kaisi Barat Shankar Sajaye,
Jab Byah Rachane Aaye ।
Shiv Adbhut Roop Banaye ,
Jab Byah Rachane Aaye ॥

Langde-lule Bhi the,
Andhe Kaane Bhee the,
Langde-lule Bhi the,
Andhe Kaane Bhi the,
Shukr Shanichar Ko Bhi Sang Laaye,
Jab Byah Rachane Aaye ।
Shiv Adbhut Roop Banaye ,
Jab Byah Rachane Aaye ॥

Aaye Sab Devta,
Paye Jab Nevta,
Aaye Sab Devta,
Paye Jab Nevta,
Deviyon Ko Bhi Sang Mein Bulaye,
Jab Byah Rachane Aaye ।
Shiv Adbhut Roop Banaye ,
Jab Byah Rachane Aaye ॥

Log Darne Lage,
Aur Ye Kahne Lage,
Log Darne Lage,
Aur Ye Kahne Lage,
Roop Kaisa Gajab Banaye,
Jab Byah Rachne Aaye ।
Shiv Adbhut Roop Banaye ,
Jab Byah Rachane Aaye ॥

Bolo Satyam Shivam,
Hai Wahi Sundaram,
Bolo Satyam Shivam,
Hai Wahi Sundaram,
Gora Ke Man Ko Bhaye,
Jab Byah Rachane Aaye ।
Shiv Adbhut Roop Banaye ,
Jab Byah Rachane Aaye ॥

Shiv Adbhut Roop Banaye ,
Jab Byah Rachane Aaye ॥

Bhakti-Bharat Sabhi Bhakton Ke Liye Bhagwan Shiv Ka Yah Prasiddh Bhajan Prastut Kar Raha Hai । Aaiye Apni Dainik Dinacharya Mein Bhajanon Ko Sammalit Karen ।
शिव अद्भुत रूप बनाए: भजन - हिन्दी में पढ़ें
शिव अद्भुत रूप बनाए, जब ब्याह रचाने आए। भुत बेताल थे..
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Shiv Adbhut Roop Banaye Video

By Tripti Shaqya

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Teri Jata Se Behti Hai Gang Dhara

Shankar Teri Jata Se, Bahati Hai Gang Dhara Kali Ghata Mein Chamke, Jaise Koi Sitara ।

Aa Jao Bhole Baba Mere Makan Me

Aa Jao Bhole Baba Mere Makan Me, Tera Dam Dam Damaroo Bole Sare Jahan Mein॥ Sun Damaroo Ki..

Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo

Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo, Ghat Bhar Ke Ganga Jai Se Kavad Liye Bharo,
Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo ॥

Baba Nene Chaliyo Hamaro Apan Nagari

Auro Baharab Ahan Ke Dehari Baba, Auro Baharab Ahan Ke Dehari, Baba Nene Chaliyau Hamaro Apan Nagari..

Meri Laaj Rakhna Bhole Meri Laaj Rakhna

Meri Laaj Rakhna, Tere Dware Aaya Mein Baba, Teri Sharan Mein aaya Mein Baba, Meri Laaj Rakhna Meri Laaj Rakhna ॥