Shiv Ji Ka Naam Subah Shaam Bhakto Ratte Rahana (शिव जी का नाम सुबह शाम, भक्तो रटते रहना - भजन)


Shiv Ji Ka Naam Subah Shaam,
Bhakto Ratte Rahana,
Shiv Parmeshwar Shiv Rameshwar,
Shiv Nageshwar Omkareshwar,
Mahakaleshwar Sabke Eswar,
Shiv Ji Ka Naam Subah Shaam,
Bhakto Ratte Rahana ॥
Shiv Shambhu Bole Shankar Ki,
Mahima JIsne Jani,
Us Ghar Main Dukh Kabhi Na Aate,
Hoti Kabhi Nahi Hani,
Shiv Hai Daata Bhagya Bidhata,
Mukti Paye Jo Dar Aata,
Ek Lota Jal Inpe Chadhata,
Shiv Ji Ka Naam Subah Shaam,
Bhakto Ratte Rahana ॥

Bav Sagar Main Dubati Naiya,
Shiv Hi Paar Lagate,
Ase Hi Bhole Bhandari,
Ghar Ghar Dhan Barsate,
Sab Ke Pyare Naath Hamare,
Palanhare Sabke Sanhare,
Gunj Rahe Shiv Ke Jaykare,
Shiv Ji Ka Naam Subah Shaam,
Bhakto Ratte Rahana ॥

Ek Lota Jal Se Khus Hote,
Jholi Bhar Dete Hai,
Bhang Dhatura Jo Bhi Chadhaye,
Dukh Sab Har Lete Hai,
Bramha Ko Ved Diye,
Ravan Ko Lanka,
Tino Loko Main Shiv Ka Danka,
Shiv Ji Ka Naam Subah Shaam,
Bhakto Ratte Rahana ॥

Shiv Ji Ka Naam Subah Shaam,
Bhakto Ratte Rahana,
Shiv Parmeshwar Shiv Rameshwar,
Shiv Nageshwar Omkareshwar,
Mahakaleshwar Sabke Eswar,
Shiv Ji Ka Naam Subah Shaam,
Bhakto Ratte Rahana ॥
शिव जी का नाम सुबह शाम, भक्तो रटते रहना - भजन - हिन्दी में पढ़ें
शिव जी का नाम सुबह शाम, भक्तो रटते रहना, शिव परमेश्वर शिव रामेश्वर, शिव नागेश्वर ओम्कारेश्वर, महाकालेश्वर सबके ईश्वर, शिव जी का नाम सूबह शाम, भक्तो रटते रहना ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chalti Hai Saari Srishti Mahakal Ke Dar Se

Mere Mahakal Ki To Duniya Hi Dewani Hai, Banate Bigadi Sabaki Bhole Aughadadani Hai, Aasara Paaya Hai Krshna Ne Baba Tere Hi Dar Se, Mere Mahakal Ke Dar Se, Mere Mahakal Ke Dar Se ॥

Jogi Bhesh Dharkar Nandi Pe Chadhkar

Jogi Bhesh Dharkar Nandi Pe Chadhkar ॥

Shankar Ke Dware Chale Kavariya

Shankar Ke Dware Chale Kanwariya, Bhole Ke Pyare Chale Kanwariya

Main Beta Hun Mahakal Ka

Deewana Hun Mahakal Ka, Ujjain Ke Sarakar Ka, Bhole Baba Mere Hai, Main Beta hun Mahakal Ka, Deewana Hun Mahakal Ka, Ujjain Ke Sarakar Ka ॥

Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe

Radha Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe । Shyama Ko Naam Anmol Bolo Radhe Radhe ॥