Shri Krishna Govind Hare Murari (श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी - भजन)


Shri Krshna Govind Hare Murari
He Nath Narayan Vasudeva॥ He Nath Narayan...॥
Ek Maat Svami Sakha Hamare
He Nath Narayan Vasudeva॥ He Nath Narayan...॥
॥ Shri Krshna Govind Hare Murari...॥
Bandi Grah Ke Tum Avatari
Kahi Janme Kahi Pale Murari
Kisi Ke Jaye Kisi Ke Kahaye
Hai Adbhud Har Baat Tihari॥ Hai Adbhud...॥
Gokul Mein Chamake Mathura Ke Tare
He Nath Narayan Vasudeva॥
॥ Shri Krshna Govind Hare Murari...॥

Adhar Pe Banshi Hraday Mein Radhe
Bat Gaye Donon Mein Aadhe Aadhe
He Radha Naagar He Bhakt Vatsalya
Sadaiv Bhakton Ke Kaam Sadhe॥ Sadaiv Bhakton...॥
Vahi Gaye Vahi Gaye Vahi Gaye
Jaha Gaye Pukare
He Nath Narayan Vasudeva॥
॥ Shri Krshna Govind Hare Murari...॥

Geeta Mein Upadesh Sunaya
Dharm Yuddh Ko Dharm Bataya
Karm Tu Kar Mat Rakh Phal Ki Ichchha
Yah Sandesh Tumhi Se Paya
Amar Hai Geeta Ke Bol Sare
He Nath Narayan Vasudeva॥
॥ Shri Krshna Govind Hare Murari...॥

Tvamev Mata Cha Pita Tvamev
Tvamev Bandhu Sakha Tvamev
Tvamev Vidya Dravinan Tvamev
Tvamev Sarvan Mam Dev Deva

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी, हे नाथ नारायण वासुदेवा॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanMusic Class BhajanMusic Learning Bhajan

Other Popular Shri Krishna Govind Hare Murari Video

Shri Krishan Govind Hare Murari Bhajan by Jagjit Singh

By Trisha Parui

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Om Mangalam Omkar Mangalam

Om Mangalam Omkar Mangalam, Om Mangalam Omkar Mangalam, Som Mangalam Saradhar Mangalam

Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai

Teri Chhaya Mein, Tere Charanon Mein, Magan Ho Baithoon, Tere Bhakto Mein ॥ Tere Darbaar Mein Maiya Khushi Milti Hai,

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye,Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye,Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,
Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye ॥

Mera Dil Atka Teri Murat Pe

Milne Ko, Milne Ko Tadpade Maiya Ko, Rahti Fir Maa Ko Sawar Nahi, Mera Dil Atka Teri Murat Pe,
Mujhko To Kisi Ki Khabar Nahi ॥