Subah Subah Le Shiv Ka Naam (सुबह सुबह ले शिव का नाम - भजन)


Subah Subah Le Shiv Ka Naam,
Kar Le Bande Yah Shubh Kaam ।
Subah Subah Le Shiv Ka Naam,
Shiv Aayenge Tere Kaam ॥
Om Namah Shivay, Om Namah Shivay,
Om Namah Shivay...
Khud Ko Raakh Lapete Phirte,
Auron Ko Dete Dhan Dham ।
Devo Ke Hit Vish Pee Dala,
Neelkanth Ko Koti Pranam ॥
॥ Subah Subah Le Shiv… ॥

Shiv Ke Charanon Mein Milte Hai,
Sari Teerath Charo Dham ।
Karni Ka Sukh Tere Hathon,
Shiv Ke Hathon Mein Parinam ॥
॥ Subah Subah Le Shiv… ॥

Shiv Ke Rahte Kaisi Chinta,
Sath Rahe Prabhu Aathon Yaam ।
Shiv Ko Bhajle Sukh Payega,
Man Ko Ayega Aaram ॥
॥ Subah Subah Le Shiv… ॥

Subah Subah Le Shiv Ka Naam,
Kar Le Bande Yah Shubh Kaam ।
Subah Subah Le Shiv Ka Naam,
Shiv Aayenge Tere Kaam ॥

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र
सुबह सुबह ले शिव का नाम - भजन - हिन्दी में पढ़ें
सुबह सुबह ले शिव का नाम, कर ले बन्दे यह शुभ काम। शिव आयेंगे तेरे काम॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ho Ho Balaji Mera Sankat Kato Ne

Ho Ho Balaji Mera Sankat Kato Ne, Ho Idhar Udhar Na Dol Rahaya

Jis Par Ho Hanuman Ki Kripa

Jis Par Ho Hanuman Ki krpa, Taqdir Ka Dhani Wo Nar Hai, Rakhwala Ho Maruti Nandan, Phir Kis Baat Ka Dar Hai,
Bhajan Pawan Sut ka KIjiye, Naam Amrut Ka Pyala Pijiye ॥

Hai Purushottam Shri Ram Karuna Nidhan Bhagwan

Hey Purushottam Shriram, Karunanidhan Bhagwan ॥

Fariyad Meri Sun Ke Hanuman Chale Aana

Fariyad Meri Sun Ke Hanuman Chale Aana, Main Dhyan Dharu Tera Bigadi Ko Tum Banana, Ram Ram Boli Jay Siyaram, Ram Ram Bolo Jay Siyaram ॥

Mere Ghar Ram Aaye Hai

Meri Chaukhat Pe Chalake Aaj, Chaaron Dhaam Aae Hai, Bajao Dhol Swagat Mein, Mere Ghar Ram Aaye Hai, Mere Ghar Ram Aaye Hai ॥