Subha Subha Hey Bhole (सुबह सुबह हे भोले - भजन)


Subah Subah Hey Bhole Karte Hain Teri Pooja,
Tere Siva Hua Hai Na Hoga Koi Dooja ।
Om Namah Shivay, Om Namah Shivay ।
Om Namah Shivay, Om Namah Shivay ।
Bhole Teri Jata Se Bahati Hai Ganga Dhara,
Sare Jagat Ke Malik, Ti Hai Pita Hamara ।
Nirbal Ka Tu Hi Bal Hai, Deta Hai Tu Sahara
Tere Siva Jahan Mein, Koi Nahin Hamara ॥
Hey Bhole Tu Hai Jaisa, Vaisa Na Koi Hoga,
Tere Siva Hua Hai, Na Hoga Koi Dooja ।

Subah Subah Hey Bhole Karte Hain Teri Pooja,
Tere Siva Hua Hai Na Hoga Koi Dooja ।
Om Namah Shivay, Om Namah Shivay ।
Om Namah Shivay, Om Namah Shivay ।

Sukh Chain Mangte Hain, Janmo Ke Ham Bhikhari,
Hampe Daya Tu Karna, Aaye Sharan Tihari ।
Tere Dwar Pe Pade Hain, Sunle Araj Hamari,
Jholi Hamari Bharde, Shiv-shankar-bhandari ॥
Bhav Sagar Se Par Kare, Jo Koi Nahin Hai Dooja,
Tere Siva Hua Hai, Na Hoga Koi Dooja ।

Subah Subah Hey Bhole Karte Hain Teri Pooja,
Tere Siva Hua Hai Na Hoga Koi Dooja ।
Om Namah Shivay, Om Namah Shivay ।
Om Namah Shivay, Om Namah Shivay ।

Tumko Niharte Hain, Ankhon Mein Hai Nirasha,
Vishwas Hai Ye Hamko Poori Karoge Asha ।
Bigdi Bana Do Apni, Drishti Daya Ki Dalo,
Bhatke Hue Hain Prani, Shiv Ji Hame Sambhalo ॥
Jab Te Rahenge Har Pal Tujhko Karte Rahenge Pooja,
Tere Siva Hua Hai, Na Hoga Koi Dooja ।

Subah Subah Hey Bhole Karte Hain Teri Pooja,
Tere Siva Hua Hai Na Hoga Koi Dooja ।
Om Namah Shivay, Om Namah Shivay ।
Om Namah Shivay, Om Namah Shivay ।
सुबह सुबह हे भोले - भजन - हिन्दी में पढ़ें
सुबह सुबह हे भोले करते हैं तेरी पूजा, तेरे सिवा हुआ है ना होगा कोई दूजा..
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Dekho Pawan Param Shri Ram Ke Charan

Dekho Pawan Param Shri Ram Ke Charan, Shri Ram Ke Charan, Prabhu Ram Ke Charan, Dekhon Pawan Param Shri Ram Ke Charan ॥

Ram Tumhara Naam

Ram Tumhara Naam, Sukhon Ka Saar Hua, Ram Lehar Main Jo Dooba, Bas Wo Hi Par Hua..

Gira Ja Raha Hu Utha Lo

Prabhu Apane Dar Se, Ab to Na Taalo, Gira Ja Raha Hoon, Utha Lo Utha Lo, Khali Na Jata Koi Dar Se Tumhare..