Tere Dar Ki Bhikh Se Hai, Mera Aaj Tak Guzaara (तेरे दर की भीख से है, मेरा आज तक गुज़ारा: भजन)


Tere Dar Ki Bhikh Se Hai,
Mera Aaj Tak Guzaara,
Jivan Ka Hai Adhar,
Jine Ka Hai Sahara,
Tere Dar Ki Bhikh Se Hai,
Mera Aaj Tak Guzaara ॥
Hay Karuna Karne Wale,
Meri Laaj Rakhne Wale,
Tere Hi Dar Se Milta,
Har Din Ko Sahara,
Tere Dar Ki Bhikh Se Hai,
Mera Aaj Tak Guzaara ॥

Teri Asta Ke Sadke,
Teri Har Gali Pe Kurabaan,
Tera Dar Hai Dar Hakiqat,
Meri Jist Ka Sahara,
Tere Dar Ki Bhikh Se Hai,
Mera Aaj Tak Guzaara ॥

Tere Pyar Ki Hado Ko,
Bas Tu Hi Janta Hai,
Tum Aa Gaye Wahin Pe,
Maine Jaha Pukara,
Tere Dar Ki Bhikh Se Hai,
Mera Aaj Tak Guzaara ॥

Kyun Dhunte Phire Hum,
Tuphanon Main Sahara,
Tere Haath Main Hi Lehare,
Tere Haath Main Kinara,
Tere Dar Ki Bhikh Se Hai,
Mera Aaj Tak Guzaara ॥

Mujhe Bekarar Rakh Kar,
Mere Dil Main Basne Wale,
Jo Yahi Hai Teri Marji,
Tera Virah Bhi Hai Pyara,
Tere Dar Ki Bhikh Se Hai,
Mera Aaj Tak Guzaara ॥

Tere Dar Ki Bhikh Se Hai,
Mera Aaj Tak Guzaara,
Jivan Ka Hai Adhar,
Jine Ka Hai Sahara,
Tere Dar Ki Bhikh Se Hai,
Mera Aaj Tak Guzaara ॥
तेरे दर की भीख से है, मेरा आज तक गुज़ारा: भजन - हिन्दी में पढ़ें
तेरे दर की भीख से है, मेरा आज तक गुज़ारा, जीवन का है आधारा, जीने का है सहारा, तेरे दर की भिख से है, मेरा आज तक गुज़ारा ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Gauri Ke Ladle Mahima Teri Mahan

Gauri Ke Ladale, Mahima Teri Mahaan, Karata Hai Sabase Pahale, Pooja Teri Jahaan,
Gauri Ke Ladale, Mahima Teri Mahaan ॥

Meri Bigdi Bana De O Deva

Sabse Pahle Tera Vandan Karne Aai Umanandan Karde Puri Murade O Deva, Siddha Karde Tu Kaaj Hay Gano Ke Maharaj Meri Bigadi Bana De O Deva ॥

Teri Jay Ho Jay Ho Jay Gauri Lal

Teri Jay Ho Jay Ho, Jay Gauri Laal, Puju Tera Naam, Karo Sabako Nihal, Teri Jay Ho Jay Ho,
Jay Gauri Laal ॥

Apne Rang Ranglo Gajanan

Apane Rang Ranglo Gajanan, Dil Tumhara Ho Gaya, Dil Tumhara Ho Gaya Deva, Dil Tumhara Ho Gaya, Kuch Raha Na Mujh Main Mera, Sab Tumhara Ho Gaya, Apane Rang Ranglo Gajanan,
Dil Tumhara Ho Gaya ॥

Jab Japega Shiv Kaa Naam Tere Ban Jaayege Bigde Kaam

Subah Subah Nis Din Jaya Kar Shiv Ke Mandir, Subah Subah Tu Uth Ke Nis Din Shiv Ke Mandir Jaya Kar, Jab Jape Ga Shiv Ka Naam Tere Banege Bigde Kaam, Naam Jab Japega Shiv Ka Naam Tere Ban Jayege Sab Bigde Kaam...