Teri Bigdi Bana Degi Charan Raj Radha Pyari Ki (तेरी बिगडी बना देगी, चरण रज राधा प्यारी की - भजन)


Teri Bigdi Bana Degi,
Charan Raj Radha Pyari Ki ॥
Tu Bas Ek Baar Shraddha Se,
Laga Kar Dekh Mastak Par,
Soyi Kismat Jaga Degi,
Charan Raj Radha Pyari Ki ।
Teri Bigdi Bana Degi,
Charan Raj Radha Pyari Ki ॥

Dukho Ke Ghor Badal Hon,
Ya Lakhon Aandhiyan Aayen,
Tujhe Sabse Bacha Legi,
Charan Raj Radha Pyari Ki.
Teri Bigdi Bana Degi,
Charan Raj Radha Pyari Ki ॥

Tere Jeevan Ke Andhiyaro Mein,
Banke Roshni Tujhko,
Naya Raasta Dikha Degi,
Charan Raj Radha Pyari Ki ।
Teri Bigdi Bana Degi,
Charan Raj Radha Pyari Ki ॥

Bharosa Hai Agar Sachcha,
Utha Kar Pharsh Se Tujhko,
Tujhe Yah Arshon Par Bitha Degi,
Charan Raj Radha Pyari Ki.
Teri Bigdi Bana Degi,
Charan Raj Radha Pyari Ki ॥

Likhe Mahima Charan Raj Ki,
Nahin Hai ʻDaasaʼ Ki Hasti,
Tujhe Dasi Bana Legi,
Charan Raj Radha Pyari Ki ।
Teri Bigdi Bana Degi,
Charan Raj Radha Pyari Ki ॥

Teri Bigdi Bana Degi,
Charan Raj Radha Pyari Ki ॥
तेरी बिगडी बना देगी, चरण रज राधा प्यारी की - भजन - हिन्दी में पढ़ें
तू बस एक बार श्रद्धा से, लगा कर देख मस्तक पर, सोयी किस्मत जगा देगी, चरण रज राधा प्यारी की। तेरी बिगडी बना देगी, चरण रज राधा प्यारी की ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanIskcon Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..