Tu Jab Jab Humko Bulaye Hum Dode Aaye (तू जब जब हमको बुलाये हम दौडे आये - भजन)


Tere Bhavan Ke Ajab Nazare,
Tere Goonj Rahe Jaikare,
Baan Ganga Ke Paavan Kinare,
Bhakto Ne Dere Daale ॥
Tu Jab-jab Humko Bulaye,
Hum Daude Aaye Bhavan Tumhare,
Maan Teri Bas Ek Ishare,
Chale Aaye Teri Dware,
Hume Apna Banale,
Charanon Se Lagale,
Aur Jaaye Maan,
Kahan O Meri Vaishno Maan ॥

O Mere Vaishno Maan ! O Mere Vaishno Maan !
O Mere Vaishno Maan ! O Mere Vaishno Maan !

Maiya Tumhare Hath Mein,
Rahata Sada Trishool Hai,
Teri Hi Kirpa Se O Maan,
Khilte Chaman Me Phul Hai,
Paalki Me Baith Koi,
Dar Pe Tumhare Aa Raha,
Koi Laga Ke Jaikare,
Chadhta Chadai Ja Raha,
Paar Sabko Utare,
Jo Bhi Aaye Tere Dware,
Thaam Leti Hath Maan,
O Meree Vaishno Maan ॥

O Mere Vaishno Maan ! O Mere Vaishno Maan !
O Mere Vaishno Maan ! O Mere Vaishno Maan !

Darshan Ko Aati Bheed Maan,
Dar Tere Sheron Wali,
Nau Raaton Me Bhavan Ki Maan,
Shobha Badi Nirali,
Jagte Kahi Hai Jyot Maan,
Goonje Kahi Jaikare Hai,
Teri Ek Jhalak Ko Paane Ko,
Aate Tumhare Pyaare Hai,
Tere Chhoo Ke Charan,
Ho Dukh Ka Haran,
Sukh Baante Tu Sada,
O Meri Vaishno Maan ॥

o Mere Vaishno Maan ! O Mere Vaishno Maan !
o Mere Vaishno Maan ! O Mere Vaishno Maan !

Aate Rahenge Vaishno Maan,
Tere Dar Pe Har Saal Hum,
Chhale Pad Jaaye Paanv Mein,
Lekin Na Rukenge Hum,
Takdeer Sabhi Ki Jagti Hai,
Maan Tere Darbaar Mein,
Karna Humko Bhi Nihaal Maan,
Mamta Ke Pyaar Se,
Har Saal Bulana,
Hume Darsh Dikhana,
Ye Hai Dil Ki Tamanna,
O Meri Vaishno Maan ॥

O Mere Vaishno Maan ! O Mere Vaishno Maan !
O Mere Vaishno Maan ! O Mere Vaishno Maan !
तू जब जब हमको बुलाये हम दौडे आये - भजन - हिन्दी में पढ़ें
तू जब जब हमको बुलाये, हम दौडे आये भवन तुम्हारे, माँ तेरी बस एक इशारे..
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanVaishno Devi BhajanVaishno Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Raghupati Raghav Raja Ram

Raghupati Raghava RajaRam, Patita Paavana SitaRam ॥ Sunder Vigraha MeghaShyam, Ganga Tulsi Shalagram ॥

Vaishnav Jan To Tene Kahiye Je

Vaishnav Jan To, Tene Kahiye Je, Peed Paraaye Jaane Re। Par Dukkhe Upkaar Kare Toye, Man Abhiman Na Anne Re...

Maa Tere Lal Bulaye Aaja

Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja, Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja ॥