Tum Ruthe Raho Mohan (भजन: तुम रूठे रहो मोहन)


Tum Roothe Raho Mohan,
Ham Tumhe Mana Lenge,
Aahon Me Asar Hoga,
Ghar Baithe Bula Lenge,
Tum Roothe Raho Mohan,
Ham Tumhe Mana Lenge ॥
Tum Kahate Ho Mohan,
Hamen Madhuban Pyaara Hai,
Ik Baar to Aa Jao,
Madhuban Hi Bana Denge,
Tum Roothe Raho Mohan,
Ham Tumhe Mana Lenge ॥

Tum Kahate Ho Mohan,
Hamen Radha Pyaari Hai,
Ik Baar to Aa Jao,
Radha Se Mila Denge,
Tum Roothe Raho Mohan,
Ham Tumhe Mana Lenge ॥

Tum Kahate Ho Mohan,
Hamen Maakhan Pyaara Hai,
Ik Baar to Aa Jao,
Maakhan Hi Khila Denge,
Tum Roothe Raho Mohan,
Ham Tumhe Mana Lenge ॥

Tum Kahate Ho Mohan,
Hamen Kahaan Bithaoge,
Is Dil Mein to Aa Jao,
Palakon Pe Bitha Lenge,
Tum Roothe Raho Mohan,
Ham Tumhe Mana Lenge ॥

Tum Hamako Na Chaaho,
Iski Hamen Parvaah Nahi,
Ham Vaade Ke Pakke Hai,
Tumhe Apna Bana Lenge,
Tum Roothe Raho Mohan,
Ham Tumhe Mana Lenge ॥

Tum Roothe Raho Mohan,
Ham Tumhe Mana Lenge,
Aahon Me Asar Hoga,
Ghar Baithe Bula Lenge,
Tum Roothe Raho Mohan,
Ham Tumhe Mana Lenge ॥

Lagi Aag Jo Seene Mein,
Teri Prem Judai Ki,
Ham Prem Ki Dhara Se,
Lagi Dil Ki Bujha Lenge,
Tum Roothe Raho Mohan,
Ham Tumhe Mana Lenge ॥

Tum Roothe Raho Mohan,
Ham Tumhe Mana Lenge,
Aahon Me Asar Hoga,
Ghar Baithe Bula Lenge,
Tum Roothe Raho Mohan,
Ham Tumhe Mana Lenge ॥
भजन: तुम रूठे रहो मोहन - हिन्दी में पढ़ें
तुम रूठे रहो मोहन, हम तुम्हे मना लेंगे, आहों मे असर होगा, घर बैठे बुला लेंगे..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanAlka Goyal Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Aayo Faganiyo Albelo

Aayo Phaganiyo Alabelo, Baba Shyam Dhani Ko Melo, Chalyo Bhagata Ko Yo Relo, Khatu Shyam Ji, O Khatu Dham Ji ॥

Man Mein Hai Vishwas Agar Jo Shyam Sahara Milta Hai

Man Mein Hai Vishwas Agar Jo, Shyam Sahara Milta Hai, Rota Hai Koi Shyam Ka Premi...

Sara Barsana Tera Deewana Hua

Teri Murli Ki Dhun, Humne Jabse Suni, Sara Barsana Tera Deewana Hua, Mili Tumse Najar, Meri Jab Saanware, Ye Dil Bhi Humara Begana Hua ॥