Ye Sare Khel Tumhare Hain Jag Kahta Khel Naseebo Ka (ये सारे खेल तुम्हारे है जग कहता खेल नसीबों का: भजन)


Ye Sare Khel Tumhare Hai,
Jag Kahata Khel Naseebon Ka,
Main Tujhse Daulat Kyun Maangu,
Mainne Suna Tu Yaar Garibon Ka ॥
Teri Deen Sudama Se Yaari,
Hamko Ye Sabak Sikhati Hai,
Dhanwanon Ki Ye Duniya Hai,
Par Tu Nirdhan Ka Sathi Hai,
Daulat Ke Deewane Kya Jaane,
Tu Aashik Sada Garibon Ka,
Main Tujhse Daulat Kyun Maangu,
Mainne Suna Tu Yaar Garibon Ka ॥

Narasi Ne Daulat Thukarakar,
Tere Sa Beta Paaya Tha,
Tune Kadam Kadam Par Kanha,
Bete Ka Dharm Nibhaya Tha,
Koi Maane Ya Prabhu Na Maane,
Par Tu Kartaar Garibon Ka,
Main Tujhse Daulat Kyun Maangu,
Mainne Suna Tu Yaar Garibon Ka ॥

Prabhu Chhama Karo ‘Romi’ Sabko,
Tere Raaj Ki Baat Batata Hai,
Tu Sikke Chaandi Ke Dekar,
Hame Khud Se Door Bhagata Hai,
Teri Isi Ada Se Jaan Gaya,
Tujhko Aitbaar Garibon Ka,
Main Tujhse Daulat Kyun Maangu,
Mainne Suna Tu Yaar Garibon Ka ॥

Ye Sare Khel Tumhare Hai,
Jag Kahata Khel Naseebon Ka,
Main Tujhse Daulat Kyun Maangu,
Mainne Suna Tu Yaar Garibon Ka ॥
ये सारे खेल तुम्हारे है जग कहता खेल नसीबों का: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ये सारे खेल तुम्हारे है, जग कहता खेल नसीबों का, मैं तुझसे दौलत क्यूँ मांगू, मैंने सुना तू यार गरीबों का ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shri Ram Jay Ram Jay Jay Ram Dhun

Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram, Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram..

Jal Jaaye Jihwa Papini, Ram Ke Bina

Ram Bina Nar Aise Jaise, Ashv Lagaam Bina । Jal Jaaye Jihwa Papini

Ram Tum Bade Dayalu Ho

Ram Tum Bade Dayalu Ho, Nath Tum Bade Dayalu Ho, Hari Ji Tum Bade Dayalu Ho ॥

Janaki Stuti - Bhai Pragat Kumari

Bhai Pragat Kumari Bhoomi-vidari Jan Hitkari Bhayhari । Atulit Chhabi Bhari

Sita Sita Sita Ram Gaiye

Sita Sita Sita Ram Gaiye, Chahe, Radhe Radhe Radhe Shyam Gaiye, Sita Ram Gaiye