गणेशोत्सव - Ganeshotsav
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Bajrangi Maharaj Tumhe Bhakt Bulate Hai (बजरंगी महाराज, तुम्हे भक्त बुलाते है: भजन)


Bajrangi Maharaj Tumhe Bhakt Bulate Hai
Bajrangi Maharaj,
Tumhai Bhakt Bulate Hai,
Tumhai Shish Jhukate Hai ॥
Agyan Balak Hai,
Charanon Ke Payak Hai,
Tu Hi Shirmor Hai,
Nadan Bilkul Hai,
Ye Baat Sachhi Hai,
Tere Bin Nahi Aur Hai,
Baithe Le Ummid,
Tumko Aaj Rijhate Hai,
Tumhai Shish Jhukate Hai ॥

Tum Veer Balkari,
Shankar Ke Avatari,
Ajab Teri Shaan Hai,
Tu Ram Ka Pyara,
Tu Shyam Ka Pyara,
Bada Tu Gunban Hai,
Jaldi Aa Jao,
Tumhai Shish Jhukate Hai ॥

Bhakti Ka Daata hai,
Shakti Ka Daata Hai,
Veer Bhaldhari Hai,
Jo Bhi Sharan Aaya,
Khali Na Lotaya,
Bade Upakari Ho,
Abhaya Daan De Do,
Tumhai Shish Jhukate Hai ॥

Dino Ke Hitkari,
Arji Suno Mhari,
Prabhu Sir Haath Dharo,
Lekar Tumhara Naam,
Karte Tumhai Pranam,
Hamen Bhav Paar Karo,
‘Jayaram’ Balihari,
Tumhe Bhajan Sunate Hai,
Tumhai Shish Jhukate Hai ॥

Bajrangi Maharaj,
Tumhai Bhakt Bulate Hai,
Tumhai Shish Jhukate Hai ॥

बजरंगी महाराज, तुम्हे भक्त बुलाते है: भजन हिन्दी में पढ़ें

बजरंगी महाराज, तुम्हे भक्त बुलाते है, तुम्हे शीश झुकाते है ॥
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Tum Bhi Bolo Ganpati Aur Hum Bhi Bole Ganpati

Maaniye Pahale Gajanan, Gajvadan Hey Ganapati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Tum Bhi Bolo Ganpati, Aur Hum Bhi Bole Ganpati ॥

Apna Hai Seth Ganpati Lala

Apna Hai Seth Ganpati Lala, Shiv Shankar Sut Dev Ganapati, Devo Mein Balakare, Sabase Pahale Tera Sumiran, Karati Duniya Sari, Devo Mein Dev Hai Niraala, Apna Hai Seth Ganpati Lala ॥

Gauri Ke Ladle

Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan, Karta Hai Sabse Pahale, Pooja Teri Jahan, Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan ॥

Padharo Mhare Angana Ji

Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Padharo Mhare Angna Ji, Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji ॥

Sukh Dene Wale Dukh Harne Wale

Sukh Dene Wale Dukh Harne Wale, Ase Ganray Ko Sabka Pranam, Sarbapratham Puja Jiski Hoti,
Gan Ganpati Unka Naam ॥

Gaiye Ganpati Subaho Shaam

Gaiye Ganpati Subaho Shaam, Mangalmurti Mangalkari, Pawan kari Tero Naam, Gaiye Ganpati Subaho Shaam ॥

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Bhakti Bharat APP