Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Chadariya Jhini Re Jhini (चदरिया झीनी रे झीनी - भजन)


Chadariya Jhini Re Jhini
Doha:
Kabira Jab Hum Paida Hue,
Jag Hanse Hum Roye,
Aisi Karni Kar Chalo,
Hum Hanse Jag Roye ।
Chadariya Jhini Re Jhini,
Ram Naam Ras Bhini,
Chadariya Jhini Re Jhini ॥

Asht Kamal Ka Charkha Banaya,
Paanch Tatv Ki Pooni,
Nau Das Mas Bunan Ko Lage,
Moorakh Maili Kini,
Chadariya Jhini Re Jhini,
Ram Naam Ras Bhini,
Chadariya Jhini Re Jhini ॥

Jab Mori Chadar Ban Ghar Aai,
Rangarej Ko Dini,
Aisa Rang Ranga Rangare Ne,
Ke Lalo Lal Kar Dini,
Chadariya Jhini Re Jhini,
Ram Naam Ras Bhini,
Chadariya Jhini Re Jhini ॥

Chadar Odh Shanka Mat Kariyo,
Ye Do Din Tumko Dini,
Moorakh Log Bhed Nahin Jane,
Din Din Maili Kini,
Chadariya Jhini Re Jhini,
Ram Naam Ras Bhini,
Chadariya Jhini Re Jhini ॥

Dhruv Prahalad Sudama Ne Odhi,
Shukdev Ne Nirmal Kini,
Das Kabir Ne Aisi Odhi,
Jyo Ki Tyon Dhar Dini,
Chadariya Jhini Re Jhini,
Ram Naam Ras Bhini,
Chadariya Jhini Re Jhini ॥

Chadariya Jhini Re Jhini,
Ram Naam Ras Bhini,
Chadariya Jhini Re Jhini ॥

चदरिया झीनी रे झीनी - भजन हिन्दी में पढ़ें

चदरिया झीनी रे झीनी, राम नाम रस भीनी, अष्ट कमल का चरखा बनाया...
Read Also

Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanGuru Gyan BhajanInspirational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanKabir BhajanKabir Vani BhajanArya Samaj BhajanKabir BhajanKabir Das BhajanAnup Jalota Bhajan

Other Popular Chadariya Jhini Re Jhini Video

TARASINGH DODVE

Sawmi Shriniwasacharya And Ramdhyan Gupta

Kabir Cafe

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Dekho Pawan Param Shri Ram Ke Charan

Dekho Pawan Param Shri Ram Ke Charan, Shri Ram Ke Charan, Prabhu Ram Ke Charan, Dekhon Pawan Param Shri Ram Ke Charan ॥

Ram Tumhara Naam

Ram Tumhara Naam, Sukhon Ka Saar Hua, Ram Lehar Main Jo Dooba, Bas Wo Hi Par Hua..

Gira Ja Raha Hu Utha Lo

Prabhu Apane Dar Se, Ab to Na Taalo, Gira Ja Raha Hoon, Utha Lo Utha Lo, Khali Na Jata Koi Dar Se Tumhare..

Jo Ram Ka Nahi Kisi Kaam Ka Nahi

Raja Ram Sabhi Ke Unki, Praja Hai Yahan Sari, Ek Duje Se Ram -Ram, Kahake Milte Nar Naari, Ram Naam Anmol Mile, Kahi Dam Ka Nahi, Jo Ram Ka Nahi, Kisi Kaam Ka Nahi ॥

Bhajan Karo Mitra Mila Ashram Nartan Ka

Bhajan Karo Mitr Mila, Ashram Nartan Ka । Shwas Ki Sumirini Hai, Man Ko Bana Manka ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP