Shri Ram Bhajan

Har Desh Me Tu Har Bhesh Me Tu (हर देश में तू, हर भेष में तू - प्रार्थना)


Har Desh Me Tu Har Bhesh Me Tu
Har Desh Mein Tu, Har Bhesh Mein Tu,
Tere Naam Anek Tu Ekhi Hai,
Tere Naam Anek Tu Ekhi Hai ।
Teri Rangbhoomi Yah Vishwa Bhara,
Sab Khel Mein, Mel Mein Tu Hi to Hai ॥
Sagar Se Utha Badal Banke,
Badal Se Phata Jal Ho Karke ।
Phir Nahar Bana Nadiyan Gahri,
Tere Bhinn Prakar, Tu Ekhi Hai ॥

Har Desh Mein Tu, Har Bhesh Mein Tu,
Tere Naam Anek Tu Ekhi Hai,
Tere Naam Anek Tu Ekhi Hai ।

Chinti Se Bhi Anu-parmanu Bana,
Sab Jeev-jagat Ka Roop Liya ।
Kahin Parvat-vriksh Vishal Bana,
Saundarya Tera, Tu Ekhi Hai ॥

Har Desh Mein Tu, Har Bhesh Mein Tu,
Tere Naam Anek Tu Ekhi Hai,
Tere Naam Anek Tu Ekhi Hai ।

Yah Divya Dikhaya Hai Jisne,
Wah Hai Gurudev Ki Poorn Daya ।
Tukdaya Kahe Koi Na Aur Dikha,
Bas Main Aru Tu Sab Ekhi Hai ॥

हर देश में तू, हर भेष में तू - प्रार्थना हिन्दी में पढ़ें

हर देश में तू, हर भेष में तू, तेरे नाम अनेक तू एकही है । तेरी रंगभूमि यह विश्व भरा...
Read Also

Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanCollage BhajanGurukul BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanPrayer Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Main Balak Tu Mata Sherawaliye

Main Balak Tu Mata Sherawaliye, Hai Atut Yah Naata Sherawaliye

Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara

Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara । Dil Ne Pukara Tu Hai Mera Sahara Maa | Sheranwali, Jotanwali, Mehraanwali Maa

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Bhajan: Man Leke Aaya Mata Rani Ke Bhawan Me

Man Leke Aaya, Mata Rani Ke Bhawan Main, Bada Sukh Paya, Bada Sukh Paya, Mata Rani Ke Bhawan Main

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP