Shri Hanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Jai Ho Shiv Bhola Bhandari Lela Aprampar Tumhari Bhajan (जय हो शिव भोला भंडारी - भजन)


Jai Ho Shiv Bhola Bhandari Lela Aprampar Tumhari Bhajan
Jai Ho Shiv Bhola Bhandari,
Lila Aprampar Tumhari,
Leke Naam, Tera Naam,
Tere Dham Aa Gaye,
Tere Bhakt Pe Sankat Bhari,
Raksha Kijiye He Tripurari,
Leke Naam, Tera Naam,
Tere Dham Aa Gaye,
॥ Jai Ho Shiv Bhola Bhandari… ॥
Meri Vinati Suno He Avanashi,
Kirapa Kardo Prabhu Ghat-ghat Vasi,
Ab to Lelo Khabar Hamari,
Tum Ho Bhakto Ke Hitkari,
Leke Naam, Tera Naam,
Tere Dham Aa Gaye,
॥ Jai Ho Shiv Bhola Bhandari… ॥

Meri Naiya Phasi Prabhu Majhdhar Mein,
Koi Tumsa Dayalu Na Sansar Mein,
Mana Patit Bada Bhari,
Bhole Aap Ho Mangalkari,
Leke Naam, Tera Naam,
Tere Dham Aa Gaye,
॥ Jai Ho Shiv Bhola Bhandari… ॥

Aap Ke Charanon Ki Dhool Jo Payenge,
Sare Badal Vo Duhkh Ke Jhat Jayege,
Tune Uski Bipda Tali,
Aaya Sharan Jo Nath Tumhari,
Leke Naam, Tera Naam,
Tere Dham Aa Gaye,

Jai Ho Shiv Bhola Bhandari,
Lila Aprampar Tumhari,
Leke Naam, Tera Naam,
Tere Dham Aa Gaye,
Tere Bhakt Pe Sankat Bhari,
Raksha Kijiye He Tripurari,
Leke Naam, Tera Naam,
Tere Dham Aa Gaye

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र

जय हो शिव भोला भंडारी - भजन हिन्दी में पढ़ें

जय हो शिव भोला भंडारी लीला अपरंपार तुम्हारी, लेके नाम, तेरा नाम, तेरे धाम आ गए,
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanLakkha Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Lanka Jalayi Karamaat Ho Gayi

Pawan Tanay Sankat Haran, Mangal Murti Roop। Ram Lakhan Sita Sahit,Hriday Basahun Sur Bhoop॥ Prabhu Ram Bhi Rni Hai Hanuman Ji Tumhare। Sab Kaam Ram Ji Ke, Tumne Sada Sanware॥

Aadi Ant Mera Hai Ram

Aadi Ant Mera Hai Ram, Un Bin Aur Sakal Bekaam ॥

Parades Ja Rahe Ho, Kaise Jiyenge Hum

Parades Ja Rahe Ho, Kaise Jiyenge Hum, Kaise Jiyenge Hum Kanhaiya, Kaise Jiyenge Hum,
Dil Leke Ja Rahe Ho, Kaise Jiyenge Hum ॥

Tumhari Yaad Aati Hai Batao Kya Karen Mohan

Tumhari Yaad Aati Hai, Batao Kya Karen Mohan, Tumhari Yaad Aati Hai, Batao Kya Karen Mohan ॥

Khul Gaya Bank Radha Rani Ke Naam Ka

Khul Gaya Baink Radha, Raani Ke Naam Ka, Baitha Banke Manager, Kanha Nandganv Ka, Baitha Banke Manager, Kanha Nandganv Ka ॥

Janme Janme Krishna Kanhai Badhai De De Ri Maiya

Janmo Janmo Krushan Kanhae, Badhae De De Ri Maiya, De De Ri Maiya, Badhae De De Ri Maiya, Janmo Janmo Krushan Kanhae, Badhae De De Ri Maiya ॥

Bol Kanhaiya Bol

Bol kanhaiya Bol, Bol kanhaiya Bol Tu To, Jel Mein Janmio, Na Re Na Mein To, Gokul Mein Janmio,
Bol kanhaiya Bol Tu To, Jel Mein Janmio, Bol kanhaiya Bol ॥

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP