Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Leke Gaura Ji Ko Sath Bhole Bhale Bhole Nath (लेके गौरा जी को साथ भोले-भाले भोले नाथ - भजन)


Leke Gaura Ji Ko Sath Bhole Bhale Bhole Nath
Leke Gaura Ji Ko Saath Bhole-bhale Bhole Nath,
Kashi Nagari Se Aye Hain Shiv Shankar ।
Nandi Pe Savaar Hoke Dambru Bajaate,
Chale Aa Rahe Hain Bhole Hari Gun Gaate,
Pahene Naramundo Ki Mala Odhe Tan Par Mrig Chhala,
Kashi Nagari Se Aye Hain Shiv Shankar,
॥ Leke Gaura Ji Ko Saath… ॥

Hath Mein Trishul Liye Bhasami Ramay,
Jholi Gale Mein Daale Gokul Mein Aye,
Pahuche Nand Baaba Ke Dwaar Alakh Jagaen Barambar,
Kashi Nagari Se Aye Hain Shiv Shankar,
॥ Leke Gaura Ji Ko Saath… ॥

Kahan Hai Yashoda Tera Krishn Kanhaiya,
Darash Karade Raani Loo Main Balaiya,
Sunakar Narayan Avatar Aaya Hoo Main Tere Dwaar,
Daras Karade Ho Maiya Main Aaya Tere Dwaar,
॥ Leke Gaura Jee Ko Saath… ॥

Dekhake Yashoda Boli Jao-baba Jao,
Dwaar Hamare Tum Na Dambru Bajao,
Dar Jaavega Mera Laal Jo Dekhega Sarp Maal,
Jao Baba Ji Jao Kisi Aur Dwaar Par,
॥ Leke Gaura Jee Ko Saath… ॥

Hans Ke Vo Jogi Bola Suno Maharaani,
Darash Karaade Mujhe Hogi Meherbaani,
Daras Karade Ek Baar Dekhu Kaisa Hai Sukumar,
Tera Lala Hari Ka Kahalata Avataar,
॥ Leke Gaura Jee Ko Saath… ॥

Soya Hai Kanhaiya Mera Main Aa Jagaoon,
Teri Baato Mein Baba Hargiz Na Aaoon,
Mera Nanha Sa Gopal Tu Koyi Jadu Dega Daal,
Main Na Laoon Mera Laal Youn Hat Na Kar,
॥ Leke Gaura Jee Ko Saath… ॥

Itni Sunke Bhola Hanse Khilkhila Ke,
Bola Yashoda Se Dambru Bajake,
Dekho Jakar Apna Laal Aane Ko Vo Hai Behal,
Daras Karade Ek Baar Dekhu Kaisa Hai Sukumar,
॥ Leke Gaura Jee Ko Saath… ॥

Itne Mein Aye Mohan Murli Bajate,
Brahma Indrani Jiska Paar Na Pate,
Yahan Gokul Mein Gvaal Ghar- Ghar Nach Raha Gopal,Gaura
Kashi Nagari Se Aye Hain Shiv Shankar,
॥ Leke Gaura Jee Ko Saath… ॥

Leke Gaura Ji Ko Saath Bhole-bhale Bhole Nath,
Kashi Nagari Se Aye Hain Shiv Shankar ।

लेके गौरा जी को साथ भोले-भाले भोले नाथ - भजन हिन्दी में पढ़ें

लेके गौरा जी को साथ भोले-भाले भोले नाथ, काशी नगरी से आए हैं शिव शंकर। नंदी पे सवार होके...
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanShri Krishna Bhajan

Other Popular Leke Gaura Ji Ko Sath Bhole Bhale Bhole Nath Video

Leke Gaura Ji Ko Sath Shiv Bhajan By Arvind Dixit

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hari Nam Sumir Sukhdham Jagat Mein

Hari Nam Sumir Sukhdham, Hari Nam Sumir Sukhdham, Jagat Mein Jeevan Do Din Ka...

Kuch Nahi Bigadega Tera Hari Sharan Aane Ke Baad

Kuch Nahin Bigdega Tera, Hari Sharan Aane Ke Baad । Har Khushi Mil Jayegi Tujhe..

Hari Hari Hari Sumiran Karo

Hari Hari, Hari Hari, Sumiran Karo, Hari Charnaravind Ur Dharo

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage, Lakhnva Nahi Jana Ki Ji Na Lage ॥

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein, Saja Dipo Ki Thali, Paap Ki Koi Bhag Nahi Hai, Chamake Dharm Ki Laali, Hue Dhanya Dhara Ye Avadha Ki, Aaye Jo Ram Ayodhya Mein ॥

Hari Tum Haro Jan Ki Bhir

Hari Tum Haro Jan Ki Bhir। Dropdi Ki Laj Rakhi, Tum Ba.Dhayo Chir...

Ud Gayi Re Nindiya Meri Bansi Shyam Ne Bajai Re

Ud Gayi Re Nindiya Meri, Bansi Shyam Ne Bajai Re, Kho Gaya Chen Mera, Saari Raat So Na Pai, Ud Gayi Re Nindiya Meri, Bansi Shyam Ne Bajai Re ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP