Sawan 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Maiya Ji Mere Hath Ko Ab Tham Lijiye (मईया जी मेरे हाथ को, अब थाम लीजिये - भजन)


Maiya Ji Mere Hath Ko Ab Tham Lijiye
Maiya Ji Mere Hath Ko,
Ab Tham Lijiye ॥
Doha - Rota Hun Jara Jara,
Kuch Ashar Hi Nahi hai,
Lagta Hai Meri Maata Ko,
Meri Phikar Hi Nahi Hai ॥

Maiya Ji Mere Hath Ko,
Ab Tham Lijiye,
Majbur Hun Maa Main Bada,
Majbur Hun Maa Main Bada,
Ab Dhyan Dijiya,
Maiya Ji Mere Hath Ko,
Ab Tham Lijiye ॥

Kar Na Sako Jo Maa Meri,
Manga Nahi Hai Woh,
Sahane Na Paun Main Jise,
Laga Hai Ghao Woh,
Apni Daya ka Ab Mujhe,
Kuch Daan Dijiye,
Majbur Hun Maa Main Bada,
Majbur Hun Maa Main Bada,
Ab Dhyan Dijiya,
Maiya Ji Mere Hath Ko,
Ab Tham Lijiye ॥

Lagta Hai Meri Baat ka,
Kuch Bhi Ashar Nahi,
Bete Ki Maat Kya Tujhe,
Kuch Bhi Fikar Nahi,
Halat Hai Bure O Maa,
Ye Jaan Lijiye,
Majbur Hun Maa Main Bada,
Majbur Hun Maa Main Bada,
Ab Dhyan Dijiya,
Maiya Ji Mere Hath Ko,
Ab Tham Lijiye ॥

Hum Ne Suna Hai Din Pe,
Karti Ho Tum Daya,
Kahne Mein Tumse Maa Meri,
Aati Nahi Haya,
Tere ‘Harsh’ Ka Ruka Hua,
Har Kaam Kijiye,
Majbur Hun Maa Main Bada,
Majbur Hun Maa Main Bada,
Ab Dhyan Dijiya,
Maiya Ji Mere Hath Ko,
Ab Tham Lijiye ॥

Maiya Ji Mere Hath Ko,
Ab Tham Lijiye,
Majbur Hun Maa Main Bada,
Majbur Hun Maa Main Bada,
Ab Dhyan Dijiya,
Maiya Ji Mere Hath Ko,
Ab Tham Lijiye ॥

मईया जी मेरे हाथ को, अब थाम लीजिये - भजन हिन्दी में पढ़ें

मईया जी मेरे हाथ को, अब थाम लीजिये, मजबूर हूँ माँ मैं बड़ा, मजबूर हूँ माँ मैं बड़ा, अब ध्यान दीजिये, मईया जी मेरे हाथ को, अब थाम लीजिये ॥
Read Also

Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aaja Aaja O Ganraja

Sarvpratham Pujit Ho Baba, Tum Ho Jag Se Nirale। Sraddha Bhav Se Tumko Puje, Sada Yeh Duniya Wale। Kabhi Nahin Koi Lauta Tere Dar Se Yun Hi Khali, Bhar-Bhar Ke Dete Ho Sabko, Jo Aaye Banke Sawali॥

Gaiye Ganpati Jagvandan

Gaiye Ganapati Jagvandan। Shankar Suvan Bhavani Ke Nandan॥ Siddhi Sadan Gajvadan Vinayak।

Sare Jagat Mein Sabse Prathame Tumhe Manate Hai

Bappa Ho Bappa Ganapati Bappa, Bappa Ho Bappa Ganapati Bappa, Teri Jai Jaikar Lagate Hai Jai Jai Ganaraj, Sare Jagat Mein Sabse Prathame Tumhe Manate Hai ॥

Duraj Ki Lali Tujhe Tilak Lagati Hai By Movie Bhuj Aarti

Suraj Ki Lali Tujhe Tilak Lagati Hai Bagiya Ki Dali-dali Pushp Chadhati Hai..

Hey Pratham Pujya Gaurinandan Hum Sharan Tihari Aaye Hai

Hey Pratham Pujya Gaurinandan, Hum Sharan Tihari Aaye Hai, Shraddha Ke Suman Arpit Karane,
Ham Thal Saja Kar Lae Hai, Hey Pratham Pujya Gaurinandan, Hum Sharan Tihari Aaye Hai ॥

Gajanan Charan Kamal Raj Dije

Tumhari Krupa Milat Avinashi, Bhav Bandhan Kat Jasi, Jag Mein Nahin Hai Sahara Jinako, Unako Sahara Dije, Gajanan Charan Kamal Raj Dije ॥

Gauri Ke Lal Suno

Gauri Ke Lal Suno, Ki Kabse Tujhe Yaad Kare, Keertan Mein Aa Jao, Hay Keertan Mein Aa Jao, Ye Tumse Phariyad Kare, Gauri Ke Lal Suno, Ki Kabse Tujhe Yaad Kare ॥

Sawan 2026 - Sawan 2026
Sawan 2026 - Sawan 2026
Bhakti Bharat APP