Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Mere Ghar Ram Aaye Hai ( मेरे घर राम आये है: भजन)


Mere Ghar Ram Aaye Hai
Meri Chaukhat Pe Chalake Aaj,
Chaaron Dhaam Aae Hai,
Bajao Dhol Swagat Mein,
Mere Ghar Ram Aaye Hai,
Katha Shabari Ki Jaise,
Jud Gae Kahani Se,
Na Roko Aaj Dhone Do Charan,
Aankhon Ke Paani Se,
Bahut Khush Hai Mere Aansu,
Ke Prabhu Ke Kaam Aae Hai,
Bajao Dhol Swagat Mein,
Mere Ghar Ram Aaye Hai ॥
Tumako Pa Ke Kya Paya Hai,
Shrashti Ke Kan Kan Se Puchho,
Tumako Khone Ka Duhkh Kya Hai,
Kaushalya Ke Maan Se Puchho,
Dwar Mere Ye Abhage,
Aaj Inake Bhaag Jage,
Badi Lambi Intezaari Hue,
Raghuvar Tumhari Tab,
Aayi Hai Sawari,
Sandeshe Aaj Khushiyon Ke,
Hamare Naam Aaye Hai,
Bajao Dhol Swagat Mein,
Mere Ghar Ram Aaye Hai ॥

Darshan Pa Ke He Avatari,
Dhany Hue Hai Nain Pujari,
Jeevan Naiya Tumane Taari,
Mangal Bhavan Amangal Hari,
Nirdhan Ka Tum Dhan Ho Raaghav,
Tum Hi Ramaayan Ho Raghav,
Sab Duhkh Harana Avadh Bihari,
Mangal Bhavan Amangal Hari,
Charan Ki Dhul Lelun Main,
Mere Bhagavan Aaye Hai,
Bajao Dhol Swagat Mein,
Mere Ghar Ram Aaye Hai ॥

Meri Chaukhat Pe Chalake Aaj,
Chaaron Dhaam Aae Hai,
Bajao Dhol Swagat Mein,
Mere Ghar Ram Aaye Hai,
Mere Ghar Ram Aaye Hai ॥

मेरे घर राम आये है: भजन हिन्दी में पढ़ें

मेरी चौखट पे चलके आज, चारों धाम आए है, बजाओ ढोल स्वागत में, मेरे घर राम आये है, मेरे घर राम आये है ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Mahadev Ka Pujari

Jiska Kailash Mein Hai Dera, Vo to Shiv Shambhu Hai Mera, Jise Manti Hai Duniya Yeh Sari॥

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP