Shri Krishna Bhajan

Naam Uska Hai Banke Bihari ( नाम उसका है बाँके बिहारी: भजन)


Naam Uska Hai Banke Bihari
Hum Garibon Se Rakhata Hai Yari,
Naam Uska Hai Banke Bihari,
Naam Uska Hai Banke Bihari ॥
Pyari Lagati Garibon Ki Naiya,
Baith Jaata Hai Banake Khivaiya,
Bhul Jata Hai Dekho Sarakari,
Naam Uska Hai Banke Bihari ॥

Log Kahate Hai Triloki Naath Hai,
Uske Haath Mein Garibon ka Haath Hai,
Sayad Janta Nahi Wo Duniya Dari,
Naam Uska Hai Banke Bihari ॥

Usaka Jhopadi Main Hai Jana Aana,
Swad Lagata Bidur Ji Ka Khana,
Khud Ko Kehata Hai Prem Ka Pujhari,
Naam Uska Hai Banke Bihari ॥

Maal Narasi Ka Pahale Lutwaya,
Ghar Banwari Mira Ka Chutaya,
Pyara Lagata Sudama Bhikhari,
Naam Uska Hai Banke Bihari ॥

Hum Garibon Se Rakhata Hai Yari,
Naam Uska Hai Banke Bihari,
Naam Uska Hai Banke Bihari ॥

नाम उसका है बाँके बिहारी: भजन हिन्दी में पढ़ें

हम गरीबों से रखता है यारी, नाम उसका है बांके बिहारी, नाम उसका है बाँके बिहारी ॥
Read Also

Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Shankar Tum Kailashpati

Shiv Shankar Tum Kailashpati, Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi, Shiv Shankar Tum Kailashpati, Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi ॥

Ram Ka Rat Jaga, Rat Jaga Ram Ka

Ram Ka Rat Jaga, Rat Jaga Raam Ka, Gao Badhai Shubh Ghadi Aayi, Palan Palan Nisadin Ho Raha Sumiran..
Ek Hi Naam Ka

Main Do-Do Maa Ka Beta Hun

Main Do-do Maa Ka Beta Hun, Dono Maiya Badi Pyari Hai । Ek Mata Meri Janani Hai, Ek Jag Ki Palanhari Hai ॥

Tere Charno Mein Sir Ko Jhukata Rahu

Tere Charanon Main Sar Ko, Jhukata Rahun, Tu Bulata Rahe, Aur Main Aata Rahun ॥

Laut Ke Aaja Nand Ke Dulare

Laut Ke Aaja Nand Ke Dulare, Ummid Lagaye, Na Jaane Mera, Laala Kab Aaye ॥

Khul Gaye Saare Taale Wah Kya Baat Ho Gai

Khul Gaye Saare Taale Vaah Kya Baat Ho Gayi, Jabse Janme Kanhaiya Karamaat Ho Gayi ॥

Dagmag Dole Jeewan Naiya Beech Fansi Majdhar

Dagmag Dole Jeevan Naiya Beech Phansi Majhdhar, Paar Laga De Khaatu Wale Tham Ke Tu Patvaar..

Aditya Hridaya Stotra - Aditya Hridaya Stotra
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP