Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji (ओ बजरंग बाला चरणों से लगा लो जी: भजन)


Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji
Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji,
Tere Bina Main Kuch Nahi Baba Sab Kuch Tujhse Hi,
Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji ॥
Ram Bhakt Anjani Ke Lala Dharu Tiharo Dhyan,
Har Sankat Se Aap Ubaro Sankat Mochan Naam,
Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram,
Saran Main Tere To Aaya Haath Pakad Lo Ji,
Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji ॥

Anjani Maa Ke Laal Dulare Japate Ram Ka Naam,
Naam Jo Leta Ram Prabhu Ka Karte Purna Kaam,
Ram Ram Jai Raja Ram Ram Ram Jai Sita Ram,
Nav Padi Majhdhar Balaji Paar Lagalo Ji,
Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji ॥

Bhoot Pret Tere Naam Se Baba Rahate Koson Dur,
Ram Naam Ki Masti Mein Rahate Hardam Chur,
Ram Siya Ram Siya Ram Jai Jai Ram,
Laal Langote Vale Baba Sabki Sun Lo Ji,
Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji ॥
BhaktiBharat Lyrics

Kuch Nahi Tha Mere Paas O Baba Na Kuch Thi Okat,
Pakad Ke Haath O Bajarang Bala Sab Kuch Diya O Naath,
Ram Ram Jai Raja Ram Ram Ram Jai Sita Ram,
Lehru Se Sur Lahari Banaya Paar Lagao Ji,
Oh Bajrang Bala Charno Se Laga Lo Ji ॥

ओ बजरंग बाला चरणों से लगा लो जी: भजन हिन्दी में पढ़ें

ओ बजरंग बाला चरणों से लगा लो जी, तेरे बिना मैं कुछ नहीं बाबा सब कुछ तुझसे ही, ओ बजरंग बाला चरणों से लगा लो जी ॥
Read Also

Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Hey Nath Daya Karke Meri Bigdi Bana Dena

Hey Nath Daya Karke, Meri Bigdi Bana Dena, Ab Tak Jo Nibhaya Hai, Age Bhi Nibha Dena, Age Bhi Nibha Dena, Hey Nath Daya Karke, Meri Bigdi Bana Dena ॥

Shiv Tandav Stotram And Kon Hai Woh From Bahubali

Jata Kata Hans Bhramabhramanni Limp Nirjhari, Vilolavi Chivallari Virajaman Murdhani...

Itni Vinti Hai Tumse Hai Bhole Mere

Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere, Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum, Jaise Ab Tak Nibhai Hai Tumne Prabhu, Jaise Ab Tak Nibhai Hai Tumne Prabhu, Vaise Hi Aage Aur Nibha Lena Tum, Itni Vinti Hain Tumse Hey Bhole Mere, Tham Ke Hath Ab Na Chhuda Lena Tum, Itni Vinti Hai Tumse Hey Bhole Mere ॥

Kalyug Mein Fir Se Aaja Damru Bajane Wale

Kalyug Main Phir Se Aaja, Damaru Bajane Wale, Dukh Dard Sab Mita Ja, Damaru Bajane Wale ॥

Sada Shiv Sarva Var Data Digamber Ho To Aisa Ho

Sadashiv Sarva Vardata, Digamber Ho to Aisa Ho । Hare Sab Duhkh Bhakton Ke, Dayakar Ho to Aisa Ho

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP