Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Ram Naam Hi Satya Hai (राम नाम ही सत्य है - भजन)


Ram Naam Hi Satya Hai
Ram Naam Hi Satya Hai Keval,
Ram Ka Gungan Karo,
Bhool Ke Is Jhoothe Jag Ko Ik,
Pal to Ram Ka Dhyan Dharo,
Ram Naam Heen Satya Hain Keval,
Ram Ka Gungan Karo ॥
Jitna Chamka Na Hai Chamka,
Tan Mitti Hi Hona Hai,
Kuch Chandan Ki Lakdi Aakhir,
Bas Tera Hi Bichhona Hai,
Haad Maans Ki Kaya Hai Ye,
Is Par Na Abhimaan Karo,
Ram Naam Heen Satya Hain Keval,
Ram Ka Gungan Karo ॥

Mrigtrishna Ki Tarah Pagle,
Kiski Khoj Mein Bhatak Raha,
Kshan Bhangur Jeevan Hai Tera,
Kisme Man Ye Atak Raha,
Rah Jayega Dhara Yaheen Par,
Kaam Krodh Na Maan Karo,
Ram Naam Heen Satya Hain Keval,
Ram Ka Gungan Karo ॥

Raam Naam Hi Sath Chalega,
Jab Tu Marghat Jayega,
Is Duniya Ka Har Ek Pyara,
Door Khada Rah Jayega,
Keval Itna Satya Hai ‘Sharma’,
Satya Se Na Anjaan Bano,
Ram Naam Heen Satya Hain Keval,
Ram Ka Gungan Karo ॥

Ram Naam Hi Satya Hai Keval,
Ram Ka Gungan Karo,
Bhool Ke Is Jhoothe Jag Ko Ik,
Pal to Ram Ka Dhyan Dharo,
Ram Naam Heen Satya Hain Keval,
Ram Ka Gungan Karo ॥

राम नाम ही सत्य है - भजन हिन्दी में पढ़ें

राम नाम ही सत्य है केवल, राम का गुणगान करो, भूल के इस झूठे जग को इक, पल तो राम का ध्यान धरो, राम नाम हीं सत्य हैं केवल, राम का गुणगान करो ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Sawan Ka Mahina Bhakto

sawan ka, mahina bhakton, hamen, bhole ko, manana hai ॥ bhole, tere mathe par, chanda bada pyara hai ॥

Guru Meri Puja Guru Mera Parbrahma

Guru Meri Puja Guru Gobind, Guru Mera Parabrahm, Guru Bhagwant

Guru Bhajan

Guru, Gurudev, Vyasa Purnima, Guru Gyan, Inspirational, Morning, Dainik, Daily, Arya Samaj

Shukrana Tera

Meharaan Vaaliya Saiyaan Rakhee Charana De Kol, Rakhee Charana De Kol Rakhee Charana De Kol, Meharaan Vaaliya Saiyaan Rakhee Charana De Kaul

Mere Satguru Den Dayal

Mere Sataguru Deen Dayal, Main Tera Naam Japa Karoon, Guru Ravidas Mahaaraaj, Main Tera Naam Japa Karoon

Aanand Hi Aanand Baras Raha

Anand Hi Anand Baras Raha, Balihari Aise Sadguru Ki । Dhan Bhagya Hamare Aaj Hue..

Mere Prabhuji Sangati Sharan Tihari

Prabhu Ji Tum Sangati Saran Tihari । Jag-jeevan Ram Murari ॥ Gali-gali Ko Jal Bahi Aayo...

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP