Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Shamshano Ke Vasi Ho Bhuto Ka Hai Sath (शमसानो के वासी हो, भूतों का है साथ - भजन)


Shamshano Ke Vasi Ho Bhuto Ka Hai Sath
Shamshano Ke Vasi Ho,
Bhuto Ka Hai Sath,
Tera Ganga Kinare Dera,
Tera Ganga Kinare Dera,
O Baba Bhutnath,
Shamasanon Ke Vasi Ho,
Bhuton Ka Hai Saath ॥
Devon Mein Mahadev Ho Baba,
Sari Duniya Dhyati Hai,
Sradha Se Charanon Main Tere,
Aakar Shish Jhukati Hai,
Jo Paav Pakad Le Tere,
Jo Paav Pakad Le Tere,
Tu Pakde Unke Haath,
Shamasanon Ke Vasi Ho,
Bhuton Ka Hai Saath ॥

Shrashti Ke O Sirajanahare,
Tere Dhang Nirale Hai,
Devon Ki Raksha Ke Khatir,
Pita Vish Ke Pyale Hai,
Hum Bhole Bhakton Ka Tu,
Hum Bhole Bhakton Ka Tu,
Rakhshak Hai Bholenaath,
Shamasanon Ke Vasi Ho,
Bhuton Ka Hai Saath ॥

Somavar Ko Tera Darshan,
Bahut Badi Subhkari hai,
Teri Daya Se Hum Bhakto Ki,
Katati Bipada Sari Hai,
Is ‘Harsh’ Ka Bhole Baba,
Is ‘Harsh’ Ka Bhole Baba,
Tu Dena Hardum Saath,
Shamasanon Ke Vasi Ho,
Bhuton Ka Hai Saath ॥

Shamshano Ke Vasi Ho,
Bhuto Ka Hai Sath,
Tera Ganga Kinare Dera,
Tera Ganga Kinare Dera,
O Baba Bhutnath,
Shamasanon Ke Vasi Ho,
Bhuton Ka Hai Saath ॥

शमसानो के वासी हो, भूतों का है साथ - भजन हिन्दी में पढ़ें

शमसानो के वासी हो, भूतों का है साथ, तेरा गंगा किनारे डेरा, तेरा गंगा किनारे डेरा, ओ बाबा भूतनाथ, शमसानों के वासी हो, भूतों का है साथ ॥
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhakton Ke Ghar Kabhi Aao Ma

Aao Maan Aao Maan Aao Maan, Bhakto Ke Ghar Kabhi Aaon Maan, Parivar Tumhara Hai, Hamen Tera Hi Sahara Hai, Aaon Maan Aaon Maan Aaon Maan, Bhakto Ke Ghar Kabhi Aao Maan ॥

Meri Maiya Tere Darbar Ye Diwane Aaye Hai

Meri Maiya Tere Darbar Ye, Deewane Aaye Hai, Bhakti Mein Teri Doob Ke Ye, Bhakti Mein Teri Doob Ke Ye,
Mastane Aaye Hai, Meri Maiya Tere Darbar Ye, Deewane Aaye Hai ॥

Maa Ka Naam Jape Ja Har Pal

Maan Ka Naam Jape Ja Har Pal, Laage Na Koi Mol Re, Jai Mata Di Bol Re Tu, Jai Mata Di Bol Re ॥

Bhagat Pukare Aaj Mawadi

Bhagat Pukare Aaj Mawadi, Aake Laaj Bacha Ja Aye, Duhkh Pave Hai Tabar Thara, Aake Kasht Mita Ja Ai, Bhakt Pukare Aaj Mawadi, Aake Laaj Bacha Ja Aye ॥

Kitna Sona Hai Darbar Bhawani Tera

Kitna Sona Hai Darbar, Bhawani Tera Ye Singar, Kitan Sona Hai, Tera Ye Darwar Bhawani, Tera Ye Singar, Kitna Sona Hai, O Maiya Tumko, Kisne Sajaya Hai, Tera Sundar Se Sundar, Darwar Banaya Hai ॥

Teri Mahima Sabhi Ne Bakhani

Teri Mahima Sabhi Ne Bakhani, Daya Hampe Karo Ambe Rani ॥

Jaago Pahada Waali Tera Jagan Vela Hoya

Jaago Pahadawali Tera, Jagan Vela Hoya, Jaago Gaura Mai Tera, Jagan Vela Hoya ॥

Ram Bhajan - Ram Bhajan
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP