Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Sri Ram Dhun Mein Mann Tu (श्री राम धुन में मन तू: भजन)


Sri Ram Dhun Mein Mann Tu
Shri Ram Dhun Mein Man Tu,
Jab Tak Magan Na Hoga,
Bhav Jaal Chhutne Ka,
Tab Tak Jatan Na Hoga ॥
Vyapaar Dhan Kamakar,
Tu Lakh Saaj Sajale,
Hoga Sukhi Na Tab Tak,
Hoga Sukhi Na Tab Tak,
Santosh Dhan Na Hoga ॥

Shri Ram Dhun Me Man Tu,
Jab Tak Magan Na Hoga,
Bhav Jaal Chhutne Ka,
Tab Tak Jatan Na Hoga ॥

Tap Yagy Hom Pooja,
Vrat Aur Naim Kar Le,
Sab Vyarth Hai Jo Mukh Se,
Sab Vyarth Hai Jo Mukh Se,
Hari Ka Bhajan Na Hoga ॥

Shri Ram Dhun Me Man Tu,
Jab Tak Magan Na Hoga,
Bhav Jaal Chhutne Ka,
Tab Tak Jatan Na Hoga ॥

Sansar Ki Ghata Se,
Kya Pyaas Bujh Sakegi,
Pyaase Hriday Ko Jab Tak,
Pyaase Hriday Ko Jab Tak,
Tera Na Dhan Milega ॥

Shri Ram Dhun Me Man Tu,
Jab Tak Magan Na Hoga,
Bhav Jaal Chhutne Ka,
Tab Tak Jatan Na Hoga ॥

श्री राम धुन में मन तू: भजन हिन्दी में पढ़ें

श्री राम धुन में मन तू, जब तक मगन ना होगा, भव जाल छूटने का, तब तक जतन ना होगा ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanRam Dhanu BhajanBhagwan Ram BhajanSita Ram BhajanAwadh Naresh Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Gauri Sut Shankar Lal

Gauri Sut Shankar Laal, Vinayak Meri Araj Suno, Baitha Bhagvat Maha Pooran, Vinayak Meri Araj Suno, Gauri Sut Shankar Laal, Vinayak Meri Araj Suno ॥

Hey Vinay Vinayak Vinati Kara

Hey Vinay Vinayak Vinti Kara, Mhaare Angan Aap Padharo Ji, Nirbal Ra Bal Prabhu Aap Hi Ho, Nirdhan Ra Dhan Prabhu Aap Hi Ho, Man Mandir Mein Satkaar Kara, Mhaare Angan Aap Padharo Ji ॥

Jai Jai Ganpati Gauri Nandan

Jai Jai Ganpati Gauri Nandan, Hum Aaye Sharan Tihaari Prabhu, Tum Riddhi Siddhi Ke Ho Data, Hum Bhaktan Par Balihari Prabhu, Jai Jai Ganpati Gaunri Nandan, Hum Aaye Sharan Tihaari Prabhu ॥

Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye

Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye, Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye, Main Apne Duhkh Ko, Main Apne Duhkh Ko Hoon Bisraye, Vo Khushiyan Apne Sath Hai Laye, Mere Ghar Ganpati Ji Hai Aaye ॥

Ganpati Gajvadan Vinayak

Ganpati Gajvadan Vinayak, Thane Pratham Manava Ji, Aana Kaani Mat Na Kariyo, Thari Kirpa Chava Ji, Ganpati Gajvadan Vinayak, Thane Pratham Manava Ji ॥

Ghumta Ghar Aao Mhara Pyara Gajanan

Ghumtada Ghar Aavo, O Mhara Pyara Gajanan, Kheltada Ghar Aavo, O Mhara Pyara Gajanan ॥

Aaj Saje Hain Mere Ghar K Dware Aaj Vinayak Mere Aangan Padhare

Aaj Saje Hain Mere Ghar Ke Dware, Aaj Vinayak Mere Aangan Padhare, Swagat Tumhara Hey Ganraja, Jaage Hain Bhag Humare

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP