गणेशोत्सव - Ganeshotsav
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Subah Subah Le Shiv Ka Naam (सुबह सुबह ले शिव का नाम - भजन)


Subah Subah Le Shiv Ka Naam
Subah Subah Le Shiv Ka Naam,
Kar Le Bande Yah Shubh Kaam ।
Subah Subah Le Shiv Ka Naam,
Shiv Aayenge Tere Kaam ॥
Om Namah Shivay, Om Namah Shivay,
Om Namah Shivay...
Khud Ko Raakh Lapete Phirte,
Auron Ko Dete Dhan Dham ।
Devo Ke Hit Vish Pee Dala,
Neelkanth Ko Koti Pranam ॥
॥ Subah Subah Le Shiv… ॥

Shiv Ke Charanon Mein Milte Hai,
Sari Teerath Charo Dham ।
Karni Ka Sukh Tere Hathon,
Shiv Ke Hathon Mein Parinam ॥
॥ Subah Subah Le Shiv… ॥

Shiv Ke Rahte Kaisi Chinta,
Sath Rahe Prabhu Aathon Yaam ।
Shiv Ko Bhajle Sukh Payega,
Man Ko Ayega Aaram ॥
॥ Subah Subah Le Shiv… ॥

Subah Subah Le Shiv Ka Naam,
Kar Le Bande Yah Shubh Kaam ।
Subah Subah Le Shiv Ka Naam,
Shiv Aayenge Tere Kaam ॥

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र

सुबह सुबह ले शिव का नाम - भजन हिन्दी में पढ़ें

सुबह सुबह ले शिव का नाम, कर ले बन्दे यह शुभ काम। शिव आयेंगे तेरे काम॥
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ghar Me Padharo Gajanan Ji

Ghar Mein Padharo Gajananji, Mere Ghar Mein Padharo, Riddhi Siddhi Leke Aao Ganaraja...

Gaiye Ganpati Jagvandan

Gaiye Ganapati Jagvandan। Shankar Suvan Bhavani Ke Nandan॥ Siddhi Sadan Gajvadan Vinayak।

Dukhharta Banke Sukhkarta Banke Chale Aana

Tum Vighn Vinashak Aana, Tum Vighn Vinashak Aana, Ikchha Puri Karo, Hath Sar Pe Dharo, Chale Aana, Ganapati Chale Aana, Dukh Harta Banke, Sukhkarta Banke, Chale Aana, Ganapati Chale Aana ॥

Jai Ganesh Jai Gajvadan Kripa Sindhu Bhagwan

Jai Ganesh Jai Gajvadan, Kripa Sindhu Bhagwan । Mushak Vahan Deejiye, Gyan Buddhi Vardan ॥

Mere Ganaraj Aaye Hai

Saja Do Ghar Ko Phoolon Se, Mere Ganaraj Aaye Hai, Lage Kutiya Bhi Dulhan Si, Dev Sarataj aaye Hai..

Gajanand Mehar Karo

O Gananayak Maharaj, Sumira Jodu Donon Hath, Gajanand Maihar Karo, Gajanan Maihar Karo . Ganapati Bappa Moreya Mangal Moorti Moreya ॥

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP