Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Tan Ranga Mera Mann Ranga (तन रंगा मेरा मन रंगा - भजन)


Tan Ranga Mera Mann Ranga
Tan Ranga Mera Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga,
Sita Ji Ke Rang Mein,
Ram Ji Rang Mein,
Raadheshyaam Ji Rang Mein,
Tan Ranga Menra Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga ॥
Odhi Hai Jabse Mainne Prem Ki Chunariya,
Sitaram Ratate Ratate Beete Ri Umariya,
Radheshyam Ratate Ratate Beete Ri Umariya,
Ram Ke Siva Na Koi,
Shyam Ke Siva Na Koi,
Soojhe Re Dagariya,
Tan Ranga Menra Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga ॥

Baanh Pakad Ke Meri De De Sahara,
Ram Prabhu Ji Mainne Tujhko Pukara,
Shyam Prabhu Ji Mainne Tujhko Pukara,
Teri Daya Se Mile,
Teri Kripa Se Mile,
Sabko Kinara,
Tan Ranga Menra Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga ॥

Paun Kahan Main Tujhko Kuch to Bata De,
Janam Maran Se Tu Mujhko Bacha Le,
Khud Ko Kiya Re Mainne Tere Hawale,
Tera Hi Roop Hoon Main,
Mera Hi Roop Hai Tu,
Khud Mein Chhipa Le,
Tan Ranga Menra Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga ॥

Teri Sharan Mein Aaya Aur Kahan Jaoon,
Tujhse Hi Bichhda Hoon Main Tujhme Samaoon,
Charanon Mein Dhaam Chaaron Yahin Sar Jhukaoon,
Yahi Mujhe Jeena Prabhu Ji,
Yahi Mujhe Jeena Prabhu Ji,
Yahi Mar Jaoon,
Tan Ranga Menra Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga ॥

Tan Ranga Mera Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga,
Sita Ji Ke Rang Mein,
Ram Ji Rang Mein,
Radheshyam Ji Rang Mein,
Tan Ranga Menra Man Ranga,
Is Rang Mein Ang Ang Ranga ॥

तन रंगा मेरा मन रंगा - भजन हिन्दी में पढ़ें

तन रंगा मेरा मन रंगा, इस रंग में अंग अंग रंगा, सीता जी के रंग में, राम जी रंग में, राधेश्याम जी रंग में, तन रंगा मेंरा मन रंगा, इस रंग में अंग अंग रंगा ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Katha BhajanAyodhya Dham Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Hai Nam Re Sabse Bada Tera Nam

Kaal Ke Panje Se Mata Bachao, Jai Maan Asht Bhawani, Kaal Ke Panje Se Mata Bachao, Jai Maan Asht Bhawani...

Aisa Pyar Baha De Maiya

Ya Devi Aarva-Bhuteshu, Daya-Roopen Sansthita। Namastasye Namastasye Namastasye Namo Namah॥

Ran mein aayi dekho Kali

Ran Mein Aayi Dekho Kali, Khoon Se Bharne Khappar Khali, Dushto Ko Tu Marne Wali, Jai Kali Kali ॥

Jo Dena Ho To Maiya Uphar Ye Dena

Jo Dena Ho to Maiya, Uphar Ye Dena, Teri Mamta Par Thoda, Adhikar De Dena, Jo Dena Hon Ton Maiya, Uphar Ye Dena ॥

Maiya Bulale Navrate Mein

Maiya Bulale Navrate Mein, Nachenge Hum Sab Jagrate Mein, Maan Ki Murat Bas Gai Aankho Mein, Nachenge Hum Sab Jagrate Mein ॥

Bhagton Ko Darshan De Gayi Re Ek Choti Si Kanya

Bhagton Ko Darshan De Gayi Re, Ek Choti Si Kanya, Choti Si Kanya, Ek Choti Si Kanya |

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP