Shri Hanuman Bhajan

Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai (यदि नाथ का नाम दयानिधि है: भजन)


Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai
Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai,
To Daya Bhi Karenge Kabhi Na Kabhi,
Dukhhaari Hari, Dukhiya Jan Ke,
Dukh Klesh Haregen Kabhi Na Kabhi ॥
Jis Ang Ki Shobha Suhaavni Hai,
Jis Shyamal Rang Mein Mohani Hai,
Us Roop Sudha Se Snehiyon Ke,
Drg Pyaale Bharegen Kabhi Na Kabhi ॥

Jahaan Giddh Nishaad Ka Aadar Hai,
Jahaan Vyaadh Ajaamil Ka Ghar Hai,
Wahi Bhesh Banake Usi Ghar Mein,
Ham Ja Thaharegen Kabhi Na Kabhi ॥

Karunanidhi Naam Sunaya Jinhen,
Karnamrit Paan Karaya Jinhen,
Sarkaar Adaalat Mein Ye Gavaah,
Sabhi Gujaregen Kabhi Na Kabhi ॥

Ham Dwar Mein Aapke Aake Pade,
Muddat Se Isi Hai Jid Par Ade,
Bhav-sindhu Tare Jo Bade Se Bade,
To Ye ‘Bindu’ Taregen Kabhi Na Kabhi ॥

Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai,
To Daya Bhi Karenge Kabhi Na Kabhi,
Dukhhaari Hari, Dukhiya Jan Ke,
Dukh Klesh Haregen Kabhi Na Kabhi ॥

यदि नाथ का नाम दयानिधि है: भजन हिन्दी में पढ़ें

यदि नाथ का नाम दयानिधि है, तो दया भी करेंगे कभी ना कभी, दुखहारी हरी, दुखिया जन के, दुख क्लेश हरेगें कभी ना कभी ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Raja Ram Aaiye Mere Bhojan Ka Bhog Lagaiye

Raja Ram Aaiye, Prabhu Ram Aaiye, Mere Bhojan Ka, Bhog Lagaiye ॥

Jape Ja Tu Bande Subah Aur Sham

Jape Ja Tu Bande, Subhah Aur Shaam, Shree Ram Jay Ram, Jay Jay Ram, Shree Ram Jay Ram, Jay Jay Ram ॥

Katha Ram Ji Ki Hai Kalyankari

Katha Ram Ji Ki Hai Kalyankari, Magar Ye Karega Ashar Dhire Dhire, Ahankar Mad Moh Phela Jo Bhitar, Utaregi Sara Jahar Dhire Dhire, Katha Ram Ji Ki Hai Kalyankari, Magar Ye Karega Ashar Dhire Dhire ॥

Raksha Karo Mere Ram

Raksha Karo Mere Ram, Raksha Karon Mere Ram, Man Ki Lagi Hai Tumse Hi Bhagwan, Man Ki Lagi Hai Tumse Hi Bhagwan, Poojun Tum Subah Shaam, Raksha Karo Meren Ram, Raksha Karo Meren Ram ॥

Yehi Raat Antim Yehi Raat Bhaari

Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari, Bas Ek Raat Ki Ab Kahani Hai Saari, Yahi Raat Antim Yaheen Raat Bhaari ॥

Aaj Ram Mere Ghar Aaye

Aaj Ram Mere Ghar Aaye, Mere Ram Mere Ghar Aaye, Ni Main Unchai Bhaga Wali, Meri Kutia De Bhag Jagaye, Aaj Ram Mere Ghar Aaye ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
×
Bhakti Bharat APP