Aaise Mere Maan Main Virajiye (ऐसे मेरे मन में विराजिये - भजन)


Aise Mere Man Mein Virajiye
Aise Mere Man Mein Virajiye
Ki Mai Bhool Jaoon Kaam Dham
Gaoon Bas Tera Naam
Bhool Jaoon Kaam Dham
Gaoon Bas Tera Naam
Sita Ram Sita Ram, Sita Ram Sita Ram
Sita Ram Sita Ram, Sita Ram Sita Ram
॥ Aise Mere Man Mein Virajiye… ॥
Tu Chanda Hum Hai Chakor,
Darshan Ko Machate Hai Shor ।
Teri Kripa Ki Najar,
Ab Ho Jaye Apni Bhi or ।

Karuna Kariye Mat Lajie,
Ki Mai Bhool Jaoon Kaam Dham
Gaoon Bas Tera Naam
Bhool Jaoon Kaam Dhaam
Gaoon Bas Tera Naam
Sita Ram Sita Ram, Sita Ram Sita Ram
Sita Ram Sita Ram, Sita Ram Sita Ram
Aise Mere Man Main Virajiye, Aise Mere Man Main..

Preeti Ka Sachcha Surur,
Jinhen Tumne Diya Hai Huzur ।
Bhakti Ki Gahraiyan
Pa Lenge Vo Premi Jaroor ।

Charan Kamal Chit Sajie
Ki Mai Bhool Jaoon Kaam Dham
Gaoon Bas Tera Naam
Bhool Jaoon Kaam Dhaam
Gaoon Bas Tera Naam
Sita Ram Sita Ram, Sita Ram Sita Ram
Sita Ram Sita Ram, Sita Ram Sita Ram
Aise Mere Man Main Virajiye, Aise Mere Man Main..

Jeene Ka Ek Phal Yahi,
Jisne Jana Hai Gyani Vahi ।
Preetam Hriday Mein Base
Baat Santo Ne Itni Kahi ।

Siya Sang Pyari Chhavi Chhajiye ।
Ki Mai Bhool Jaoon Kaam Dhaam
Gaoon Bas Tera Naam
Bhool Jaoon Kaam Dhaam
Gaoon Bas Tera Naam
Sita Ram Sita Ram, Sita Ram Sita Ram
Sita Ram Sita Ram, Sita Ram Sita Ram

Aise Mere Man Mein Virajiye
Aise Mere Man Mein Virajiye
Ki Mai Bhool Jaoon Kaam Dhaam
Gaoon Bas Tera Naam
Bhool Jaoon Kaam Dhaam
Gaoon Bas Tera Naam
Sita Ram Sita Ram, Sita Ram Sita Ram
Sita Ram Sita Ram, Sita Ram Sita Ram
ऐसे मेरे मन में विराजिये - भजन - हिन्दी में पढ़ें
ऐसे मेरे मन में विराजिये, कि मै भूल जाऊं काम धाम, गाऊं बस तेरा नाम...
Bhajan Shri Ram BhajanJanki BhajanMata Sita BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hari Nam Sumir Sukhdham Jagat Mein

Hari Nam Sumir Sukhdham, Hari Nam Sumir Sukhdham, Jagat Mein Jeevan Do Din Ka...

Kuch Nahi Bigadega Tera Hari Sharan Aane Ke Baad

Kuch Nahin Bigdega Tera, Hari Sharan Aane Ke Baad । Har Khushi Mil Jayegi Tujhe..

Hari Hari Hari Sumiran Karo

Hari Hari, Hari Hari, Sumiran Karo, Hari Charnaravind Ur Dharo

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage, Lakhnva Nahi Jana Ki Ji Na Lage ॥

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein, Saja Dipo Ki Thali, Paap Ki Koi Bhag Nahi Hai, Chamake Dharm Ki Laali, Hue Dhanya Dhara Ye Avadha Ki, Aaye Jo Ram Ayodhya Mein ॥