Aaj Ayodhya Ki Galiyon Mein Ghume Jogi Matwala (आज अयोध्या की गलियों में, घुमे जोगी मतवाला: भजन)


Aaj Ayodhya Ki Galiyon Mein,
Ghume Jogi Matwala,
Alakh Niranjan Khada Pukare,
Dekhunga Tera Lala ॥
Shaili Shrangi Liye Hath Mein,
Aur Damru Trishul Liye,
Chhamak Chhamak Chham Naache Jogi,
Daras Ki Man Mein Aas Liye,
Pag Mein Ghunghru Chham Chham Baje,
Kar Mein Japte Hain Mala.
Aaj Ayodhya Ki Galiyo Mein,
Ghume Jogi Matwala,
Alakh Niranjan Khada Pukare,
Dekhunga Tera Lala ॥

Ang Vibhooti Ramaye Jogi,
Baghmbar Tan Pe Sohe,
Jata Joot Mein Gang Viraje,
Bhakt Janon Ke Man Mohe,
Mastak Oopar Chandr Biraje,
Gale Mein Sarpon Ki Mala.
Aaj Ayodhya Ki Galiyo Mein,
Ghume Jogi Matwala,
Alakh Niranjan Khada Pukare,
Dekhunga Tera Lala ॥

Raaj Dwar Par Khada Pukare,
Bol Raha Madhuri Vaani,
Apne Laal Ko Dikha De Maiyya,
Ye Jogi Man Mein Thani,
Laakh Hataye Par Na Mane,
Dekhoonga Dashrath Lala.
Aaj Ayodhya Ki Galiyo Mein,
Ghume Jogi Matwala,
Alakh Niranjan Khada Pukare,
Dekhunga Tera Lala ॥

Mata Kaushalya Dwar Pe Aayi,
Apane Laal Ko God Liye,
Ati Vibhor Ho Shiv Jogi Ne,
Baal Roop Ke Darshan Kiye,
Chala Sumirane Ram Naam Ko,
Vo Kailashi Kashi Wala.
Aaj Ayodhya Ki Galiyo Mein,
Ghume Jogi Matwala,
Alakh Niranjan Khada Pukare,
Dekhunga Tera Lala ॥

Aaj Ayodhya Ki Galiyon Mein,
Ghume Jogi Matwala,
Alakh Niranjan Khada Pukare,
Dekhunga Tera Lala ॥
आज अयोध्या की गलियों में, घुमे जोगी मतवाला: भजन - हिन्दी में पढ़ें
आज अयोध्या की गलियों में, घुमे जोगी मतवाला, अलख निरंजन खड़ा पुकारे, देखूंगा तेरा लाला ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tujhme Shiva Mujhme Shiva Tan Me Shiva Man Me Shiva

Nandi Pe Chali Hai Barat Bhole Ki, Sabse Alag Hai Yo Baat Bhole Ki, Are Shukar Nache Shanichar Nache, Sang Mein Bhoot Pishachar Nache, Dekh Le Tu Goraan Yo Thath Bhole Ki...

Jagannath Chakka Nain Nilachal Vare

Jagannath Chakka Nain Neelachal Vare, Jagannath, Jagannath, Chaka Nain, Chaka Nain

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Re

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Rai, Yo Khati Ka Chhaura Baba Tera Ho Gya Sai..

Michha Duniare Gotie Sata Jagannatha

Micha Duniare Gotie Sata (2), Jagannatha Se Mo jagannath (2)

Jai Jagannath Hamen Rahana Aapke Charanon Me

Shubh Shubh Din Aaya Shubh Ghadi, Jay Jagannath Se Goonja Aasmaan , Use Chaaron Dham Ka Punya Mila, Jo Karke Poorn Teri Parikrama