Aao Aa Jao Bholenath (आओ आ जाओ भोलेनाथ - भजन)


Aao Aa Jao Bholenath,
Tere Khayalon Mein Khoya Rahun Mein,
Tere Khayalon Mein Khoya Rahun Mein,
Jagu Din Aur Raat,
Aao Aa Jao Bholenath,
Aao Aa Jao Bholenath ॥
Hay Shiv Shankar Hay Pralaynkar,
Hay Jag Ke Rakhwale,
Tere Bina Meri koun Sunega,
Tere Bina Meri koun Sunega,
Dard Dil Ki Baat,
Aao Aa Jao Bholenath,
Aao Aa Jao Bholenath ॥

Maan Panchi Bechain Darsh Bin,
Ab To darash Dikhao,
Akhiyan Ase Barash Rahi Hai,
Akhiyan Ase Barash Rahi Hai,
Sawan Ki Barsat,
Aao Aa Jao Bholenath,
Aao Aa Jao Bholenath ॥

Bish Piye Khud Amrut Bante,
Tum Sam Koi Na Dani,
‘Rama’ Daya Ki Bhiksha Mange,
‘Rama’ Daya Ki Bhiksha Mange,
Rakh Do Sir Par Haath,
Aao Aa Jao Bholenath,
Aao Aa Jao Bholenath ॥

Aao Aa Jao Bholenath,
Tere Khayalon Mein Khoya Rahun Mein,
Tere Khayalon Mein Khoya Rahun Mein,
Jagu Din Aur Raat,
Aao Aa Jao Bholenath,
Aao Aa Jao Bholenath ॥
आओ आ जाओ भोलेनाथ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
आओ आ जाओ भोलेनाथ, तेरे ख़यालों में खोया रहूं मैं, तेरे ख़यालों में खोया रहूं मैं, जागु दिन और रात, आओ आ जाओं भोलेनाथ, आओ आ जाओ भोलेनाथ ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chhoti Si Meri Parvati

Chhoti Si Meri Parvati, Shankar Ki Pooja Karti Thi, Nirjal Rahakar Nishchhal Man Se..

Ek Din Maiya Parvati Bhole Se Lagi Kehne

Ek Din Maiya Parvati, Bhole Se Lagi Kehne, Mujhko Bhi Ghadava Do Mere Swami, Sone Ke Gahane ॥

Choti Si Meri Parvati Shankar Ki Puja Karti Thi

Chhoti Si Meri Parvati, Shankar Ki Pooja Karti Thi, Nirjal Rahakar Nishchhal Man Se, Nit Dhyan Prabhu Ka Dharti Thi..

Parvati Tera Bhola Jagat Me Sabse Nirala Hai

Parvati Tera Bhola, Jagat Mein Sabse Nirala Hai । Jo Mai Hoti Ganga Jaisi

Har Har Shambhu

Har Har Shambhu Shambhu Shambhu Shambhu Shiv Mahadeva, Shambhu Shambhu Shambhu Shambhu Shiv Mahadeva..