Aaye Navratre Maiya Upkar Kijiye (आये नवरात्रे मैया, उपकार कीजिये: भजन)


Ab Karke Daya,
Ham Baccho Ka Udhar Kijiye,
Aye Navratre Maiya,
Upkar Kijiye,
Ab Karke Daya,
Ham Baccho Ka Udhar Kijiye ॥
Maa Sinha Sawari Karke,
Ab Jaldi Se Aa Jao,
Har Ghar Mein Jyotawali,
Khusiyon Ke Deep Jalao,
Ham Dono Par,
Mamta Ki Bochar Kijiye,
Ab Karke Daya,
Ham Baccho Ka Udhar Kijiye ॥

Ham Balak Mehrawali,
Hamen Apne Gale Lagao,
Parivar Pe Ham Baccho Ke,
Apni Ye Mehar Barsao,
Majhdhar Padi,
Jo Naiya Wo Bhav Par Kijiye,
Ab Karke Daya,
Ham Baccho Ka Udhar Kijiye ॥

Dhan Doulat Sona Chandi,
Maholo Ki Chah Nahi Hai,
Har Sewa Main Rahu Bas,
Mere Maan Aash Yahi Hai,
Is ‘Aman’ Ki Itani,
Arji Maa Swikar Kijiya,
Ab Karke Daya,
Ham Baccho Ka Udhar Kijiye ॥

Ab Karke Daya,
Ham Baccho Ka Udhar Kijiye,
Aye Navratre Maiya,
Upkar Kijiye,
Ab Karke Daya,
Ham Baccho Ka Udhar Kijiye ॥
आये नवरात्रे मैया, उपकार कीजिये: भजन - हिन्दी में पढ़ें
अब करके दया, हम बच्चों का उद्धार कीजिये, आये नवरात्रे मैया, उपकार कीजिये, अब करके दया, हम बच्चों का उद्धार कीजिये ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kirpa Ki Na Hoti Jo Addat Tumhari

Kripa Ki Na Hoti Jo, Aadat Tumhari, To Suni Hi Rahti, Adalat Tumhari

Parbhu Ke Charno Se Sachha Pyar

Ravan Ne Ram Se Ber Kiya Use Ab Bhi Jalaya Jata Hai, Ban Bhakta Vibhisan Saran Gaye Ghar Baae Usi Ka Ho Jaye, Parbhu Ke Charno Se Gar Sachha Pyar Kisi Ko Ho Jaye ॥

Jisko jivan Main Mila Satsang Hai

Jise Jeevan Main Mila Satsang Hain, Use Hardam Anand Hi Anand Hai ।

Mere Ram Ayodhya Aaye

Utsav Bhari Sabhi Manao Ri, Mere Ram Ayodhya Aaye, Mere Ram Ayodhya Aaye, Prabhu Ram Apane Ghar Aaye ॥

Ram Bhajan - Shri Ramji Padhare

Ramji Padhare, Shree Ramji Padhare, Hey ! Dekho Avadh Nagariya Mein Ramji Padhare