Aayi Barsane Wali Hai Aayi (आयी बरसाने वाली है आयी - भजन)


Aayi Barsane Wali Hai Aayi,
Raas Rachate Hai Krishn Kanhai ॥
Dekho Toli Hai Sakhiyon Ke Sang Mein,
Chhai Masti Hai Har Ang Ang Mein,
Radha Kanha Ko Dekh Muskai,
Raas Rachate Hai Krishn Kanhai ॥

Kaisa Pyara Lage Ye Nazara,
Shyam Radhe Ko Karte Ishara,
Dekho Radhe Rani Sharmai,
Raas Rachate Hai Krishn Kanhai ॥

Radhe Nach Nach Shyam Ko Rijhaye,
Kanha Murli Jo Hontho Se Lagaye,
Radha Rani Ki Sudh Bisrai,
Raas Rachate Hai Krishn Kanhai ॥

Shyam Albela Raas Rachaye,
Saare Gokul Ko Sang Mein Nachaye,
Kahe ‘Pavan’ Kya Maya Rachai,
Raas Rachate Hai Krishn Kanhai ॥

Aayi Barsane Wali Hai Aayi,
Raas Rachate Hai Krishn Kanhai ॥
आयी बरसाने वाली है आयी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
आयी बरसाने वाली है आयी, रास रचते है कृष्ण कन्हाई ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Mann Me to Aave Bhajan Banau

Mann Mein to Aave Bhajan Banaun, Bhajan Bana Ke Baalasa, Bhajan Bana Ke Baalasa Tujhko Rijhaun..

Bajrangbali Ki Shan Badi

Bajrangbali Ki Shan Badi, Ati Sundar Hai Hanumangadhi । Shri Ram Gareeb Navaj Hai, Hanumat Kalyug Ke Raja Hai

Bajrangbali Vo

Bajrangi Bali Vo,Bali Ma Bali Chir Chhati Dekhaye Na ll

Bajrangi Maharaj Tumhe Bhakt Bulate Hai

Bajrangi Maharaj, Tumhai Bhakt Bulate Hai, Tumhai Shish Jhukate Hai ॥