Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gai Magan (ऐसी लागी लगन, मीरा हो गयी मगन - भजन)


Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gai Magan,
Meera Ho Gae magan,
Wo To Gali Gali,
Hari Gun Gane Lage ॥
Hai Aankh Wo Jo,
Shyam Ka Darshan Kiya Kare,
Ho Shish Jo Prabhu Charan Mein,
Bandan Kiya Kare,
Bekar Wo Mukh Ho,
Jo Rahe Yartha Baton Mein,
Mukh Hai Wo Jo Hari Naam Ka,
Sumiran Kiya Kare ॥

Hire Moti Se Nahi,
Sobha Hai Haath Ki,
Hai Haath Jo Bhagban Ka,
Pujan Kiya Kare,
Mar Kar Bhi Amar Naam Hai,
Us Jiv Ka Jag Mein,
Prabhu Prem Mein Balidan Jo,
Jivan Kiya Kare ॥

Asi Lagi Lagan,
Meera Ho Gae Magan,
Wo To Gali gali,
Hari Gun Gane Lagi,
Mahalon Mein Pali,
Banke Yogan Chali,
Meera Rani Deewani Kahane Lagi,
Asi Lagi Lagan,
Meera Ho Gae Magan ॥

Koi Roke Nahi, Koi Toke Nahi,
Meera Govinda Gopal Gane Lagi,
Beth Santon Ke Sanga,
Rangi Mohan Ke Rang,
Meera Premi Pritam Ko Manane Lagi,
Wo To Gali gali,
Hari Gun Gane Lagi,
Asi Lagi Lagan,
Meera Ho Gae Magan ॥

Rana Ne Vish Diya, Mano Amrit Piya,
Meera Sagar Mein Sarita Samane Lagi,
Dukh Lakho Sahe, Mukh Se Govind kahe,
Meera Govind Gopal Gane Lagi,
Wo To Gali Gali Hari Gun Gane Lagi ॥

Asi Lagi Lagan,
Meera Ho Gae Magan,
Wo To Gali gali,
Hari Gun Gane Lagi ॥
ऐसी लागी लगन, मीरा हो गयी मगन - भजन - हिन्दी में पढ़ें
ऐसी लागी लगन, मीरा हो गयी मगन, वो तो गली गली..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanIskcon BhajanMeera BhajanMeerabai BhajanAnup Jalota Bhajan

Other Popular Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gai Magan Video

Sarojini Ghosh

Anuradha Paudwal

Vidhi Sharma

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Dadi Mein Thari Beti Hu

Dadi Main Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Maiya Main Thari Laado Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Deejo Amar Suhag, Dadi Mai Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj ॥

Mhane Sherawali Maiya Rajrani Laage

Mhane Praana Su Bhi Pyari, Mata Raani Laage, Mata Raani Laage, Mhane Sherowali Maiya, Raaj Raani Laage ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar

Maiya Ke Charno Me, Jhukta Hai Sansar, Teeno Lok Main Hoti, Maa Teri Jay Jaykar ॥