Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga (भजन: अमृत बेला गया आलसी सो रहा बन आभागा !)


Bela Amrit Gaya,
Aalsi so Raha Ban Abhaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
Bela Amrit Gaya,
Aalsi so Raha, Ban Abhaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
Jholiyan Bhar Rahey Bhagya Wale,
Laakh Patito Ne Jeevan Sambhale,
Rank Raja Bane, Prabhu Ras Mein Sane, Kasht Bhaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
॥ Bela Amrit Gaya… ॥

Prabhu Kripa Se Nar Tan Yah Paaya,
Aalsi Bankar Yoon Hi Ganvaya
Ulti Ho Gai Mati,
Kar Li Apni Chhati, Chola Tyaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
॥ Bela Amrit Gaya… ॥

Swas Ek Ek Anmol Beeta,
Amrit Ke Badle Vish Ko Tu Peeta,
Sauda Ghaate Ka Kar,
Hath Mathe Pe Dhar, Rone Laga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
॥ Bela Amrit Gaya… ॥

Manav Kuchh Bhi Na Tune Bichara,
Shir Se Rishiyo Ka Rinn Na Utara,
Guru Ka Naam Na Liya,
Ganda Pani Peeya, Ban Ke Kaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
॥ Bela Amrit Gaya… ॥

Bela Amrit Gaya,
Aalsi so Raha, Ban Abhaga,
Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga,
भजन: अमृत बेला गया आलसी सो रहा बन आभागा ! - हिन्दी में पढ़ें
बेला अमृत गया, आलसी सो रहा, बन आभागा, साथी सारे जगे, तू न जागा...
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya BhajanGuru Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shani Dev Hai Sab Ka Sahara

Shani Dev Hai Sab Ka Sahara Woh Jeevan Ka Saar Hai, Shani Dev Hai Jag Ke Khivaiya Sab Ke Palanhar Hai॥

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Damru Wale Bhole Bhale Devo Me Tum Dev Nirale

Damru Wale Bhole Bhale, Devo Mein Tum Dev Nirale, Ganga Dharan Karne Wale, Shiv Bhole Jai Shiv Bhole, Bam Bhole Jai Bam Bhole ॥

Shiv Bhola Bhandari

Sukh Ka Tyohar, Mile Damru Ke Taal, Sukh Ka Tyohar, Mile Damru Ke Taal, Kare Dukh Pida Paar Jatadhari, Shiv Bhola Bhandari, Shiv Bhola Bhandari ॥