Anjani Ke Lala Pe Bharosa Jo Hoga (अंजनी के लाला पे, भरोसा जो होगा - भजन)


Anjani Ke Lala Pe,
Bharosa Jo Hoga,
Jo Kuch Bhi Hoga,
Accha Hi Hoga ॥
Kante Mile To,
Sikayat Na Karana,
Usaki Krapa Ke,
Isare Samjhna,
Bigadi Wo Teri,
Banata Hi Hoga,
Jo Kuch Bhi Hoga,
Accha Hi Hoga ॥

Dhundega Jo Tu,
Tujhe Na Dikhega,
Aas Paas Hai Woh,
Ehsas Hoga,
Andhere Main Deepak,
Jalata Hi Hoga,
Jo Kuch Bhi Hoga,
Accha Hi Hoga ॥

Itana Samajh Le,
Kadam Ko Bada Le,
Tere Saath Hai Vo,
Maan Mein Bithaale,
Maan Mein Vo Baitha,
Bulaata Hi Hoga,
Jo Kuch Bhi Hoga,
Accha Hi Hoga ॥

Vidhi Ka Vidhan Koi,
Badal Na Paye,
Lilanand Hai To,
Kyon Ghabaraye,
Ujada Chaman Phirase,
Sajata Vo Hoga ,
Jo Kuch Bhi Hoga,
Accha Hi Hoga ॥

Sahara Tujhe Sirph,
Unase Milega,
Unake Siva Teri,
Koe Na Sunega,
Sir Pe Vo Haath Tere,
Phirata Hi Hoga,
Jo Kuch Bhi Hoga,
Accha Hi Hoga ॥

Anjani Ke Lala Pe,
Bharosa Jo Hoga,
Jo Kuch Bhi Hoga,
Accha Hi Hoga ॥
अंजनी के लाला पे, भरोसा जो होगा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
अंजनी के लाला पे, भरोसा जो होगा, जो कुछ भी होगा, अच्छा ही होगा ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Raghupati Raghav Raja Ram

Raghupati Raghava RajaRam, Patita Paavana SitaRam ॥ Sunder Vigraha MeghaShyam, Ganga Tulsi Shalagram ॥

Vaishnav Jan To Tene Kahiye Je

Vaishnav Jan To, Tene Kahiye Je, Peed Paraaye Jaane Re। Par Dukkhe Upkaar Kare Toye, Man Abhiman Na Anne Re...

Maa Tere Lal Bulaye Aaja

Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja, Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja ॥