Anjani Sut Kesari Nandan Ne (अंजनीसुत केसरी नंदन ने: भजन)


Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj saare Hai,
sampurn Ramayan Sakshi Hai,
Pag Pag Pe Sankat Taare Hai,
Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj Saare Hai ॥
Narayan Ram Avatar Liye,
Prathvi Ka Paap Mitane Ko,
Shiv Rudra Roop Dhare Hanuman,
Shree Ram Ko Path Darsane Ko.
Sevak Ka Sthan Liye Hanuman,
Narayan Sang Padhare Hai,
Sampurna Ramayan Sakhi Hai,
Pag Pag Mein Sankat Tare Hai,
Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj Saare Hai ॥

Shiv Bhakta The Kailash Nandan,
Hanumat Unke Aradhak The,
Lankapati Ravan Mahavali,
Kailashpati Ka Sadhak Tha,
Abhiman Roopi Us Danav Ko,
Shree Ram Sahit Sanghare Hai,
Sampurna Ramayan Sakhi Hai,
Pag Pag Mein Sankat Tare Hai,
Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj Saare Hai ॥

Vanar ka Roop Dhara Kapi Ne,
Rajaon Sa Srungar Liya,
Jab Bhi Danav Shakti Ubhari,
Bal Kaushal Se Sanghar Kiya,
Shree Ram Ke Naino Ki Jyoti,
Raghuvar Ke Praan Piyaare Hai,
Sampurna Ramayan Sakhi Hai,
Pag Pag Mein Sankat Tare Hai,
Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj Saare Hai ॥

Isako Vidhana Ka Lekh Kahun,
Ya Ishwar Ki Leela Maanu,
Hai Ram Ka Naam Bada Jag Mein,
Main To Keval Itana Jaanu,
Isalie Hi To Kapiraj Sada,
Shree Ram Hi Ram Uchaare Hai,
Sampurna Ramayan Sakhi Hai,
Pag Pag Mein Sankat Tare Hai,
Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj Saare Hai ॥

Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj saare Hai,
sampurn Ramayan Sakshi Hai,
Pag Pag Pe Sankat Taare Hai,
Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj Saare Hai ॥
अंजनीसुत केसरी नंदन ने: भजन - हिन्दी में पढ़ें
अंजनीसुत केसरी नंदन ने, श्री राम के कारज सारे है, सम्पूर्ण रामायण साक्षी है, पग पग पे संकट टारे है, अंजनीसुत केसरीनंदन ने, श्री राम के कारज सारे है ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Ram Nam Ke Heere Moti

Ram Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali । Krishn Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali ।

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Lanka Mein Baj Gaya Re Danka Shree Ram Ka

Mein Maa Anjani Ka Lala Shree Ram Bhakt Matvala, Mera Sota Chal Gaya Re Baja Danka Ram Ka, Lanka Mein Baj Gaya Re Danka Shree Ram Ka ॥

Rom Rom Mein Jiske Shri Ram Samaya Hai

Rom Rom Mein Jiske, Shri Ram Samaya Hai, Aaj Usi Bajrang Ka, Ye Utsav Aaya Hai ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..