Apane Charano Ka Sevak Bana Lo (अपने चरणों का सेवक, बना लो: भजन)


Hume Apne Gale Se Laga Lo Maa,
Apane Charano Ka Sevak,
Bana Lo Maa ॥
Tere Bhavan Par Jo Bhi Aaye,
Muhn Manga Var Tumse Paye,
Kab Hoga Didar Maa Tera,
Baithe Hain Hum Aash Lagaye,
Apne Godi Main Humko,
Bitha Lo Maa,
Apane Charano Ka Sevak,
Bana Lo Maa ॥

Tere Hawale Jivan Naiya,
Kar Di Hamane Sunalo Ye Maiya,
Bich Bhanvar Mein Dub Na Jaye,
Paar Laga Do Banake Khivaiya,
Meri Naiya Ko Tum Hi,
Sambhalo Maa,
Apane Charano Ka Sevak,
Bana Lo Maa ॥

Main Bhi Aana Pada Dar Tere,
Dur Karo Maa Gam Ke Andhere,
Tu Hai Maa Mamta Ki Murat,
Hum Balak Anajan Hain Tere,
Baat ‘Rana’ Ki Ab To,
Na Talo Maa,
Apane Charano Ka Sevak,
Bana Lo Maa ॥

Hume Apne Gale Se Laga Lo Maa,
Apane Charano Ka Sevak,
Bana Lo Maa ॥
अपने चरणों का सेवक, बना लो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
हमें अपने गले से लगा लो माँ, अपने चरणों का सेवक, बना लो माँ ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shani Dev Hai Sab Ka Sahara

Shani Dev Hai Sab Ka Sahara Woh Jeevan Ka Saar Hai, Shani Dev Hai Jag Ke Khivaiya Sab Ke Palanhar Hai॥

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Damru Wale Bhole Bhale Devo Me Tum Dev Nirale

Damru Wale Bhole Bhale, Devo Mein Tum Dev Nirale, Ganga Dharan Karne Wale, Shiv Bhole Jai Shiv Bhole, Bam Bhole Jai Bam Bhole ॥

Shiv Bhola Bhandari

Sukh Ka Tyohar, Mile Damru Ke Taal, Sukh Ka Tyohar, Mile Damru Ke Taal, Kare Dukh Pida Paar Jatadhari, Shiv Bhola Bhandari, Shiv Bhola Bhandari ॥