Bachchon Se Kabhi Maiya Yun Rahti Dur Nahi (बच्चो से कभी मैया, यूँ रहती दूर नहीं: भजन)


Bachcho Se Kabhi Maiya,
Yun Rahati Door Nahin,
Hum to Majboor Hai Maan,
Tum to Majboor Nahin,
Bachchon Se Kabhi Maiya ॥
Tere Darsh Ko Meri Maan,
Mere Nain Taraste Hai,
Rukte Nahin Palbhar Bhi,
Din Raat Baraste Hai,
Tumse Hum Door Rahe,
Dil Ko Manjoor Nahin,
Hum to Majboor Hai Maan,
Tum to Majboor Nahin,
Bachchon Se Kabhi Maiya ॥

Leni Hai Pareeksha to,
Maan Aur Koi Le Le,
Gum Teri Judai Ka,
Hum Kaise Bata Jhele,
Bachcho Ko Tadpaana,
Tera Dastoor Nahin,
Hum to Majboor Hai Maan,
Tum to Majboor Nahin,
Bachchon Se Kabhi Maiya ॥

Aaja Meri Maiya,
Nahin Aur Saha Jaye,
Jeevan Ka Bharosa Kya,
Kahin Der Na Ho Jaye,
Dil Toot Ke ‘sonu’ Ka,
Ho Jaye Choor Nahin,
Hum to Majboor Hai Maan,
Tum to Majboor Nahin,
Bachchon Se Kabhi Maiya ॥

Bachcho Se Kabhi Maiya,
Yun Rahati Door Nahin,
Hum to Majboor Hai Maan,
Tum to Majboor Nahin,
Bachchon Se Kabhi Maiya ॥
बच्चो से कभी मैया, यूँ रहती दूर नहीं: भजन - हिन्दी में पढ़ें
बच्चो से कभी मैया, यूँ रहती दूर नहीं, हम तो मजबूर है माँ, तुम तो मजबूर नहीं, बच्चों से कभी मैया ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan

Other Popular Bachchon Se Kabhi Maiya Yun Rahti Dur Nahi Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Shyam Nazare Dekh Lo Ab Khol Ke

Shyam Nazaren Dekh Lo, Ab Khol Ke, Charanon Mein Rakha Kaleja, Khol Ke, Shyam Nazaren Dekh Lo, Ab Khol Ke ॥

O Lagi Lagi Re Preet Thasu Sawariya Sarkar

O Lagi Lagi Re Preet, Thasu Sanwariya Sarakar, Ban Ke Deewani Main To Nachungi,
Sanwara Deewani Main To Nachungi, O Lagi Lagi Re Preet, Thasu Sanwariya Sarakar ॥