Baithi Ho Maa Samne Kar Solah Shringar (बैठी हो माँ सामने, कर सोलह श्रृंगार - भजन)


Baithi Ho Maa Samne,
Kar Solah Shringar,
Tu Karuna Ki Hai Murat,
Aur Mamta Ka Bhandar,
Baithi Ho Maa Samne,
Kar Solah Shringar ॥
Nirakh Rahi Ho Hum Bhakton Ko,
Bade Pyar Se Jagjanani,
Isi Tarah Hum Bhakton Ko Bhi,
Teri Hi Sewa Karni,
Tu Hardam Deti Rehna,
Hamko Maa Pyar Dular,
Baithi Ho Maa Samne,
Kar Solah Shringar ॥

Teri Mamta Ki Chaya Mein,
Isi Tarah Hum Pale Badhe,
Teri Kirpa Se Hi Maata,
Ham Apne Pairo Pe Khade,
Tere Bachho Ko Dene Main,
Tu Karti Nahi Inkar,
Baithi Ho Maa Samne,
Kar Solah Shringar ॥

Ham bachchon Par Haradam Maiya,
Aashirvad Tumhara Ho,
‘Harsh’ Kahe Maa Sherowali,
Harpal Saath Tumhara Ho,
Tu Haath Daya Ka Rakhna,
Sancha Tera Darwar,
Baithi Ho Maa Samne,
Kar Solah Shringar ॥

Baithi Ho Maa Samne,
Kar Solah Shringar,
Tu Karuna Ki Hai Murat,
Aur Mamta Ka Bhandar,
Baithi Ho Maa Samne,
Kar Solah Shringar ॥
बैठी हो माँ सामने, कर सोलह श्रृंगार - भजन - हिन्दी में पढ़ें
बैठी हो माँ सामने, कर सोलह श्रृंगार, तू करुणा की है मूरत, और ममता का भण्डार, बैठी हो मां सामने, कर सोलह श्रृंगार ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Shyam Nazare Dekh Lo Ab Khol Ke

Shyam Nazaren Dekh Lo, Ab Khol Ke, Charanon Mein Rakha Kaleja, Khol Ke, Shyam Nazaren Dekh Lo, Ab Khol Ke ॥

O Lagi Lagi Re Preet Thasu Sawariya Sarkar

O Lagi Lagi Re Preet, Thasu Sanwariya Sarakar, Ban Ke Deewani Main To Nachungi,
Sanwara Deewani Main To Nachungi, O Lagi Lagi Re Preet, Thasu Sanwariya Sarakar ॥