Banenge Sare Bigde Kaam Prabhu Shri Ram Ko Pujo (बनेंगे सारे बिगड़े काम, प्रभु श्री राम को पूजो - भजन)


Banenge Sare Bigde Kaam,
Prabhu Shree Ram Ko Pujo,
Yahi Vishnu Yahi Ghanshyam,
Prabhu Shree Ram Ko Pujo ॥
Na Hogi Dhup Ki Chinta,
Na Koi Bhi Phikar Hogi,
Suhani Hogi Subhah Shaam,
Prabhu Shree Ram Ko Pujo ॥

Bano Hanuman Ke Jesa,
Prabhu Shree Ram Mein Tujhko,
Najar Aayenge Charo Dhaam,
Prabhu Shree Ram Ko Pujo ॥

Wo Kal Nal Nil Kewat Aur,
Vivishan Sa Tumhara Bhi,
Jagat Mein Hoga Uncha Naam,
Prabhu Shree Ram Ko Pujo ॥

Ayodhya Mein Gaya Jo Bhi,
Wahi Kahata Hai ‘Sur’ Sabase,
Milega Chitt Ko Aaraam,
Prabhu Shree Ram Ko Pujo ॥

Banenge Sare Bigde Kaam,
Prabhu Shree Ram Ko Pujo,
Yahi Vishnu Yahi Ghanshyam,
Prabhu Shree Ram Ko Pujo ॥
बनेंगे सारे बिगड़े काम, प्रभु श्री राम को पूजो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
बनेंगे सारे बिगड़े काम, प्रभु श्री राम को पूजो, यही विष्णु यही घनश्याम, प्रभु श्री राम को पूजो ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ram Nam Ke Heere Moti

Ram Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali । Krishn Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali ।

Ayodhya Wasi Ram

Ayodhyawasi Ram, Dasharath Nandan Ram, Janaki Jeevan Ram

Ram Bhajan - Jag Gayi, Jag Gayi, Ram Jyoti Jag Gayi

Ram Ji Ka Aagman Ayodhya Saari Saj Gayi, Jag Gayi Jag Gayi, Ram Jyoti Jag Gayi

Kanha Teri Kabse Baat Niharun

Kanha Teri Kabse, Baat Niharun, Baat Niharu Tujhe, Pal Pal Pukarun ॥ Bandh Li Kanha Tose

Ram Raj Fir Se Aayil Ba

Ram Mandir Mein Ayile,Ram Raaj Ab Phir Se Aail Ba, Kab Se Lagal Aas Purail, Sab Jan Ke Manava Harasail