Bansi Wale Ke Charno Me Sar Ho Mera (बंसी वाले के चरणों में, सर हो मेरा: भजन)


Bansi Wale Ke Charnon Mein, Sar Ho Mera,
Phir Na Puchho, Ki Us Waqt Kya Baat Hai ।
Unke Dware Pe Dala Hai Jab Se Dera,
Phir Na Puchho Ki Kaisi Mulakat Hai ॥
Yah Na Chaahoon Ki, Mujh Ko Khudai Mile,
Yah Na Chaahu, Mujhe Badshahi Mile ।
Khak Dar Ki Mile Ye Mukaddar Mera,
Isse Badhkar Batao Kya Saugaat Hai ॥

Bansi Wale Ke Charnon Mein, Sar Ho Mera,
Phir Na Puchho, Ki Us Waqt Kya Baat Hai ।
Unke Dware Pe Dala Hai Jab Se Dera,
Phir Na Puchho Ki Kaisi Mulakat Hai ॥

Ho Gulami Agar Aale Darbaar Ki,
Ye Khudai Bhi Hai Badshahi Bhi Hai ।
Daasi Dar Ki Bhikharin Bane Jis Waqt,
Isse Badhkar Batao Ki Kya Baat Hai ॥

Bansi Wale Ke Charnon Mein, Sar Ho Mera,
Phir Na Puchho, Ki Us Waqt Kya Baat Hai ।
Unke Dware Pe Dala Hai Jab Se Dera,
Phir Na Puchho Ki Kaisi Mulakat Hai ॥

Govind Mero Hai Gopal Mero Hai ।
Shri Banke Bihari Nandlal Mero Hai ॥

Bansi Wale Ke Charnon Mein, Sar Ho Mera,
Phir Na Puchho, Ki Us Waqt Kya Baat Hai ।
Unke Dware Pe Dala Hai Jab Se Dera,
Phir Na Puchho Ki Kaisi Mulakat Hai ॥
बंसी वाले के चरणों में, सर हो मेरा: भजन - हिन्दी में पढ़ें
बंसी वाले के चरणों में, सर हो मेरा, फिर ना पूछो, कि उस वक़्त क्या बात है...
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shiv Ka Naam Lo

Shiv Ka Naam Lo । Har Sankat Mein Om Namo Shivay, Bas Yah Naam Japo ॥

Kawad Utha Le Dhyan Shiv Ka Laga Le

Kawad Utha Le Dhyan, Shiv Ka Lagale, Bhar Denge Jholi Bhole, Bigdi Bana Le, Har Har Mahadev,
Har Har Mahadev ॥

Shivoham Shivoham Shivoham

Hai Ek Onkar Niranjan Nirankar,
Hai Ajar Amar Aakar
Vishwadhara Man Bhaje ।

Chal Kawariya, Chal Kawariya

Chal Kanwariya, Chal Kanwad Utha, Kanwad Utha, naira shiv ka laga, man chaha phal, denge baba