Barat Bhole Ki (बारात भोले की - भजन)


Nandi Pe Chali Hai Barat Bhole Ki
Sabse Alag Hai Yo Baat Bhole Ki
Are Shukar Nache Shanichar Nache
Sang Mein Bhoot Pishachar Nache
Dekh Le Tu Goraan Yo Thath Bhole Ki
Chale Hain Shiv Jaise Mast Malanga
Gale Mein Sarp Jata Mein Ganga
Hath Mein Dam Dam Damru Baaje
Mathe Chanda Kitna Saaje
Aaj Din Hai Bhole Ka
Aur Raat Bhole Ki
Nandi Pe Chali……
[I]Bhaktibharat Lyrics[/I]

Goraan Nagri Thar Thar Kanpe
Bhoot Pishachar Dekh Jhanke
Gale Mein Hai Nar Mundon Ki Mala
Shor Machave Ajab Nirala
Tu Jeet Hai Gora
Tu Maat Bhole Ki
Nandi Pe Chali Hai……

Pheron Par Jab Aayi Gora
Sharmaye Dekho Kaise Bhola
Saat Phere Sang Lagake
Var Mala Li Sar Ko Jhuka Ke
Ho Gai Hai Goran
Dekho Aaj Bhole Ki
Nandi Pe Chali Hai……

Phool Dekho Gagan Se Barse
Devta Sab Utre Swarg Se
Shiv Milan Ki Bela Aayi
Dene Aaye Sab Shiv Ko Badhai
Kalam Prakash Ki Aur Baat Bhole Ki
Khushi Gaati Hai Mahima Din Raat Bhole Ki
Nandi Pe Chali Hai……
बारात भोले की - भजन - हिन्दी में पढ़ें
नंदी पे चली है बारात भोले की, सबसे अलग है यो बात भोले की, अरे शूकर नाचे शनिचर नाचे, संग में भूत पुशाचर नाचे, देख ले तू गोरां यो ठाठ भोले की...
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi BhajanNamah Shivay BhajanBhole Baba Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shani Dev Hai Sab Ka Sahara

Shani Dev Hai Sab Ka Sahara Woh Jeevan Ka Saar Hai, Shani Dev Hai Jag Ke Khivaiya Sab Ke Palanhar Hai॥

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Damru Wale Bhole Bhale Devo Me Tum Dev Nirale

Damru Wale Bhole Bhale, Devo Mein Tum Dev Nirale, Ganga Dharan Karne Wale, Shiv Bhole Jai Shiv Bhole, Bam Bhole Jai Bam Bhole ॥

Shiv Bhola Bhandari

Sukh Ka Tyohar, Mile Damru Ke Taal, Sukh Ka Tyohar, Mile Damru Ke Taal, Kare Dukh Pida Paar Jatadhari, Shiv Bhola Bhandari, Shiv Bhola Bhandari ॥