Bhagwan Meri Naiya Us Par Gaga Dena (भगवान मेरी नैया, उस पार लगा देना: भजन)


Bhagwan Meri Naiya,
Us Paar Laga Dena,
Ab Tak to Nibhaya Hai,
Aage Bhi Nibha Dena ॥
Ham Deen Dukhi Nirbal,
Nit Naam Rahe Pratipal,
Yah Soch Darash Doge,
Prabhu Aaj Nahi to Kal,
Jo Baag Lagaya Hai,
Phulon Se Saja Dena,
Bhagwan Meri Naiya,
Us Paar Laga Dena,
Ab Tak to Nibhaya Hai,
Aage Bhi Nibha Dena ॥

Tum Shanti Sudhakar Ho,
Tum Gyan Divakar Ho,
Mam Hans Chuge Moti,
Tum Maan Sarovar Ho,
Do Bund Sudharas Ki,
Hamko Bhi Pila Dena,
Bhagwan Meri Naiya,
Us Paar Laga Dena,
Ab Tak to Nibhaya Hai,
Aage Bhi Nibha Dena ॥

Rokoge Bhala Kabtak,
Darshan Ko Mujhe Tumse,
Charnon Se Lipat Jaoon,
Vrkshon Se Lata Jaise,
Ab Dwar Khadi Tere,
Mujhe Raah Dikha Dena,
Bhagwan Meri Naiya,
Us Paar Laga Dena,
Ab Tak to Nibhaya Hai,
Aage Bhi Nibha Dena ॥

Majhdhaar Padi Naiya,
Dagmag Dole Bhav Mein,
Aao Trishla Nandan,
Ham Dhyan Dhare Man Mein,
Ab ‘tanvar’ Kare Vinti,
Mujhe Apna Bana Lena,
Bhagwan Meri Naiya,
Us Paar Laga Dena,
Ab Tak to Nibhaya Hai,
Aage Bhi Nibha Dena ॥

Bhagwan Meri Naiya,
Us Paar Laga Dena,
Ab Tak to Nibhaya Hai,
Aage Bhi Nibha Dena ॥
भगवान मेरी नैया, उस पार लगा देना: भजन - हिन्दी में पढ़ें
भगवान मेरी नैया, उस पार लगा देना, अब तक तो निभाया है, आगे भी निभा देना ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Krishna BhajanRam Navami BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanArya Samaj BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanVidhi Sharma Bhajan

Other Popular Bhagwan Meri Naiya Us Par Gaga Dena Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Dadi Mein Thari Beti Hu

Dadi Main Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Maiya Main Thari Laado Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Deejo Amar Suhag, Dadi Mai Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj ॥

Mhane Sherawali Maiya Rajrani Laage

Mhane Praana Su Bhi Pyari, Mata Raani Laage, Mata Raani Laage, Mhane Sherowali Maiya, Raaj Raani Laage ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar

Maiya Ke Charno Me, Jhukta Hai Sansar, Teeno Lok Main Hoti, Maa Teri Jay Jaykar ॥