Bharde Re Shyam Jholi Bhar De (भरदे रे श्याम झोली भरदे: भजन)


Bharde Re Shyam Jholi Bharde,
Bharde, Na Bahala O Baaton Mein,
Na Bahala O, Baaton Mein ॥
Nadan Hai Anjaan Hain,
Shyam Tu Hi Mera Bhagwan Hai,
Tujhe Chahoon Tujhe Paoon,
Mere Dil Ka Yahi Armaan Hai,
Padh Le Re Shyam Dil Ki Padhle,
Sab Likha Hai Aankhon Mein,
​Bharde Re Shyam Jholi Bharde ॥

Din Bite Biti Raaten,
Apni Kitni Hui Re Mulakaaten,
Tujhe Jana Pahchana,
Tere Jhoothe Hue Re Sare Vade,
Bhoole Re Shyam Tum to Bhoole,
Kya Rakha Hai Baaton Mein,
​Bhar De Re Shyam Jholi Bharde ॥

Meri Naiya O Kanhaiya,
Paar Karde Tu Banke Khivaiya,
Main to Hara, Gum Ka Mara,
Aaja Aaja O Banshi Ke Bajaiya,
Lele Re Shyam Ab to Lele,
Lele, Mera Hath Hathon Mein,
​Bhar De Re Shyam Jholi Bharde ॥

Main Hoon Tera Tu Hai Mera,
Mainne Dala Tere Dar Pe Dera,
Mujhe Aas Hai Vishwas Hai,
Shyam Bhar Dega Daman Tu Mera,
Jhoomen Re Shyam ‘nandu’ Jhoomen,
Jhoomen, Teri Baanhon Mein,
Bhar De Re Shyam Jholi Bharde ॥

​Bharde Re Shyam Jholi Bharde,
Bharde, Na Bahala O Baaton Mein,
Na Bahala O, Baaton Mein ॥
भरदे रे श्याम झोली भरदे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
भरदे रे श्याम झोली भरदे, भरदे, ना बहला ओ बातों में, ना बहला ओ, बातों में...
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Hari Ka Bhajan Karo, Hari Hai Tumhara!

Hari Ka Bhajan Karo, Hari Hai Tumhara, Hari Ke Bhajan Bin, Hari Ke Bhajan Bin, Nahin Gujara

Sab Dhamo Se Dham Nirala Shri Vrindavan Dham

Sab Dhamon Se Dham Nirala, Shri Vrindavan Dham, Kunj Nikunj Mein Jahan Viraje, Pyare Shyama Shyam, Mera Vrindavan Pyara, Mera Brajdham Hai Nyara..

Main To Apne Shyam Ki Diwani Ban Jaungi

Main to Apne Shyam Ki, Diwani Ban Jaungi, Mastani Ban Jaungi...